SEARCH RESULTS
Showing search results for "ehtisaab"
Sher MATCHES FOR "ehtisaab"
Sher
yaarab mire gunaah kyaa aur ehtisaab kyaa
kuchh dii nahii.n hai KHizr sii umr-e-ravaa.n mujhe
Anees Ahmad Anees
Sher
muKHaalifat se mirii shaKHsiyat sa.nvartii hai
mai.n dushmano.n kaa ba.Daa ehtiraam kartaa huu.n
Bashir Badr
Sher
kyaa jaane kyaa likhaa thaa use iztiraab me.n
qaasid kii laash aa.ii hai KHat ke javaab me.n
Momin Khan Momin
Sher
bahut se log the mehmaan mere ghar lekin
vo jaantaa thaa ki hai ehtimaam kis ke liye
Parveen Shakir
Sher
yuu.n bhii hazaaro.n laakho.n me.n tum intiKHaab ho
puuraa karo savaal to phir laa-javaab ho
Dagh Dehlvi
Sher
shahr ke a.ndhere ko ik charaaG kaafii hai
sau charaaG jalte hai.n ik charaaG jalne se
Ehtisham Akhtar
Sher
khultaa kisii pe kyuu.n mire dil kaa mo.aamla
shero.n ke intiKHaab ne rusvaa kiyaa mujhe
Mirza Ghalib
Sher
mire aziiz hii mujh ko samajh na paa.e kabhii
mai.n apnaa haal kisii ajnabii se kyaa kahtaa
Ehtisham Akhtar
Sher
ab apnaa intizaar rahegaa tamaam-umr
ik shaKHs thaa jo mujh se judaa kar gayaa mujhe
Ahtamam Sadiq
Sher
jhunjhlaa.e hai.n lajaa.e hai.n phir muskuraa.e hai.n
kis ehtimaam se unhe.n ham yaad aa.e hai.n
Khumar Barabankavi
Sher
ab mujh ko ehtimaam se kiije supurd-e-KHaak
uktaa chukaa huu.n jism kaa malba uThaa ke mai.n