SEARCH RESULTS
Showing search results for "ehtisaab"
Ghazal MATCHES FOR "ehtisaab"
Ghazal
aashiq the shahr me.n jo puraane sharaab ke
hai.n un ke dil me.n vasvase ab ehtisaab ke
Adil Mansuri
Ghazal
kuchh ajnabii se lage aashnaa dariiche bhii
kiran kiran jo ujaalo.n kaa ehtisaab hu.aa
Naseer Turabi
Ghazal
ye ehtisaab ajab hai ki mohtasib hii nahii.n
rikaab thaamne vaale hisaab maa.ngte hai.n
Abbas Rizvi
Ghazal
mai.n jaantaa huu.n chhalaktaa hu.aa gunaah hai ye
tuu is gunaah ko be-ehtisaab piine de
Akhtar Shirani
Ghazal
diye bujhe to havaa ko kiyaa gayaa badnaam
qusuur ham ne kiyaa ehtisaab us kaa thaa
Wazir Agha
Ghazal
choro.n kaa ehtisaab na ab tak hu.aa 'qatiil'
jo haath be-qusuur thaa vo haath kaT gayaa
Qateel Shifai
Ghazal
taa.ib the ehtisaab se jab saare baada-kash
mujh ko ye iftiKHaar ki mai.n mai-kade me.n thaa
Mustafa Zaidi
Ghazal
KHushaa vo shauq ki dar dar liye phiraa mujh ko
zah-e-nasiib ki tum intiKHaab me.n aa.e
Murtaza Barlas
Ghazal
Khan Hasnain Aqib
Ghazal
hai zer-e-Gaur apnii hii chaahat kaa ehtisaab
terii vafaa pe kyaa mai.n abhii tabsira karuu.n
Javed Naseemi
Ghazal
ik be-panaah raat kaa tanhaa javaab thaa
chhoTaa saa ik diyaa jo sar-e-ehtisaab thaa
Yasmeen Hameed
Ghazal
ye dil agar tirii yaado.n se ijtinaab kare
to phir nasiib miraa KHaanumaa.n-KHaraab kare
Tamanna Jafri
Ghazal
sab ehtisaab me.n gum the hujuum-e-yaaraa.n me.n
KHudaa kii tarah miraa jurm-e-ishq tanhaa thaa
Mansoora Ahmad
Ghazal
ibaadato.n ke maraatib buland ho.n kaise
tire amal me.n gunaa kaa hai irtikaab Galat
Noor muneeri
Ghazal
kuchh KHauf-e-ehtisaab na suud o ziyaa.n kaa Dar
ye faa.eda to be-sar-o-saamaaniyo.n kaa hai
Murtaza Barlas
Ghazal
lutf gunaah me.n milaa aur na maza savaab me.n
umr tamaam kaT ga.ii kaavish-e-ehtisaab me.n
Asar Sahbai
Ghazal
mire asaaso.n me.n KHvaab aur hasrate.n niklii.n
'kabiir' ishq me.n meraa bhii ehtisaab hu.aa
Inam Kabeer
Ghazal
KHud apne ehtisaab kii fursat kahaa.n milii
kuchh bhii hu.aa to Gairo.n pe ilzaam dhar ga.e
Khalid Mubashshir
Ghazal
ye kaar-naama hai dil-e-KHud-ehtisaab kaa
mai.n paak-baaz ho gayaa tauba kiye baGair