SEARCH RESULTS
Showing search results for "faal-naama"
Sher MATCHES FOR "faal-naama"
Sher
naala-e-bulbul se Guncho.n ke kaleje phaT ga.e
gulsitaa.n vaale samajhte hai.n ki gul KHandaa.n hu.e
Shahab Lakhnavi
Sher
Maatam Fazl Mohammad
Sher
agar samjho namaaz-e-zaahid-e-maGruur yaaro
hazaaro.n baar behtar-tar hamaarii be-namaazii hai
Maatam Fazl Mohammad
Sher
namak aataa nahii.n hai raas sab dil ke mariizo.n ko
bataa aise tiraa chehra salonaa kaun dekhegaa
Fay Seen Ejaz
Sher
ra.ng se KHushbu.o.n kaa naataa TuuTtaa jaataa hai
phuul se log KHizaa.o.n jaisii baate.n karte hai.n
Iftikhar Arif
Sher
tum chaa.ndnii ho phuul ho naGma ho sher ho
allaah-re husn-e-zauq mire intiKHaab kaa
Andaleeb Shadani
Sher
fasl-e-bahaar aa.ii piyo suufiyo sharaab
bas ho chukii namaaz musallaa uThaa.iye
Haidar Ali Aatish
Sher
phir laa.ii hai barsaat tirii yaad kaa mausam
gulshan me.n nayaa phuul khilaa dekh rahaa huu.n
Sabir Dutt
Sher
marja.a-e-gabr-o-musalmaa.n hai vo but naam-e-KHudaa
bhejte hai.n use hinduu o musalmaa.n kaaGaz
Maatam Fazl Mohammad
Sher
jab fasl-e-gul aatii hai sadaa detii hai vahshat
zanjiir kaa Gul naara-e-mastaana hai us kaa
Naseem Dehlvi
Sher
Absar Abdul Ali
Sher
gul-daan me.n sajaa ke hai.n ham log kitne KHush
vo shaaKH ek phuul bhii jis par nayaa na ho
Raj Narayan Raaz
Sher
Nomaan Shauque
Sher
tuu phuul kii maanind na shabnam kii tarah aa
ab ke kisii be-naam se mausam kii tarah aa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
phir aa.ii fasl ki maanind barg-e-aavaara
hamaare naam gulo.n ke muraaslaat chale
Majrooh Sultanpuri
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
vo shaaKH bane-sa.nvre vo shaaKH phale-phuule
jis shaaKH pe dhuup aa.e jis shaaKH ko nam pahu.nche
Zia Jalandhari
Sher
us ne kii pahle-pahal paimaa.ish-e-sahraa-e-najd
qais hai dar-asl ik mash.huur panvaa.Dii kaa naam