SEARCH RESULTS
Showing search results for "faaqe"
Sher MATCHES FOR "faaqe"
Sher
Gariib-e-shahr to faaqe se mar gayaa 'aarif'
amiir-e-shahr ne hiire se KHud-kushii kar lii
Arif Shafiq
Sher
Nasir Shahzad
Sher
niklii ho parlour se fresh face le ke tum
lagtaa huu.n mai.n jo kaalii-charan tum ko is se kyaa
Badr Muneer
Sher
qarz kii piite the mai lekin samajhte the ki haa.n
ra.ng laavegii hamaarii faaqa-mastii ek din
Mirza Ghalib
Sher
tabaah kar ga.ii pakke makaan kii KHvaahish
mai.n apne gaa.nv ke kachche makaan se bhii gayaa
Shahid Kabir
Sher
aaj bhii gaa.nv me.n kuchh kachche makaano.n vaale
ghar me.n ham-saa.e ke faaqa nahii.n hone dete
Meraj Faizabadi
Sher
kyaa asar KHaak thaa majnuu.n ke phaTe kap.Do.n me.n
ek Tuk.Daa bhii to lailaa kaa garebaa.n na hu.aa
Muztar Khairabadi
Sher
palaT ke aa ga.ii KHeme kii samt pyaas mirii
phaTe hu.e the sabhii baadalo.n ke mashkiize
Mohsin Naqvi
Sher
Ahmad Shahryar
Sher
bam phaTe log mare KHuun bahaa shahr luTe
aur kyaa likkhaa hai aKHbaar me.n aage pa.Dhiye
Zaheer Ghazipuri
Sher
gayaa thaa maa.ngne KHushbuu mai.n phuul se lekin
phaTe libaas me.n vo bhii gadaa lagaa mujh ko
Aanis Moin
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
log kahte hai.n ki fann-e-shaa.irii manhuus hai
sher kahte kahte mai.n deputy collector ho gayaa
Kalb-e-husain Nadir
Sher
namkii.n goyaa kabaab hai.n phiike sharaab ke
bosaa hai tujh labaa.n kaa maze-daar chaTpaTaa
Abroo Shah Mubarak
Sher
daulat-e-faqr-o-fanaa se hai.n tava.ngar ham log
juutiyaa.n maare.n hai.n iqbaal ke sar par ham log