SEARCH RESULTS
Showing search results for "faasla"
Sher MATCHES FOR "faasla"
Sher
Bashir Badr
Sher
faasla nazro.n kaa dhoka bhii to ho saktaa hai
vo mile yaa na mile haath ba.Dhaa kar dekho
Nida Fazli
Sher
dil o nigaah kaa ye faasla bhii kyuu.n rah jaa.e
agar tuu aa.e to mai.n dil ko aa.nkh me.n rakh luu.n
Shahzad Ahmad
Sher
ek lamhe me.n kaTaa hai muddato.n kaa faasla
mai.n abhii aayaa huu.n tasviire.n puraanii dekh kar
Shahzad Ahmad
Sher
ek hii miTTii se ham dono.n bane hai.n lekin
tujh me.n aur mujh me.n magar faasla yuu.n kitnaa hai
Shahryar
Sher
ab ke junuu.n me.n faasla shaayad na kuchh rahe
daaman ke chaak aur girebaa.n ke chaak me.n
Meer Taqi Meer
Sher
Qaisarul Jafri
Sher
na ho ki qurb hii phir marg-e-rabt ban jaa.e
vo ab mile to zaraa us se faasla rakhnaa
Iftikhar Naseem
Sher
tumhaarii bazm se nikle to ham ne ye sochaa
zamii.n se chaa.nd talak kitnaa faasla hogaa