SEARCH RESULTS
Showing search results for "faasla"
Ghazal MATCHES FOR "faasla"
Ghazal
Bashir Badr
Ghazal
faasla nazro.n kaa dhoka bhii to ho saktaa hai
vo mile yaa na mile haath ba.Dhaa kar dekho
Nida Fazli
Ghazal
kitnaa dushvaar thaa duniyaa ye hunar aanaa bhii
tujh se hii faasla rakhnaa tujhe apnaanaa bhii
Waseem Barelvi
Ghazal
vo faasla thaa du.aa aur mustajaabii me.n
ki dhuup maa.ngne jaate to abr aa jaataa
Parveen Shakir
Ghazal
daa.ere inkaar ke iqraar kii sargoshiyaa.n
ye agar TuuTe kabhii to faasla rah jaa.egaa
Iftikhar Imam Siddiqi
Ghazal
jo dekhne me.n bahut hii qariib lagtaa hai
usii ke baare me.n socho to faasla nikle
Waseem Barelvi
Ghazal
hamaare paas se guzrii thii ek parchhaa.ii.n
pukaaraa ham ne to sadiyo.n kaa faasla niklaa
Khalilur Rahman Azmi
Ghazal
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
jo pahle roz se do aa.ngano.n me.n thaa haa.il
vo faasla to zamiin aasmaan me.n bhii na thaa
Jamal Ehsani
Ghazal
kisii ne ye na bataayaa ki faasla kyaa hai
har ek ne mujhe rasta dikhaa ke chho.D diyaa
Shahzad Ahmad
Ghazal
raah-e-dunyaa se nahii.n dil kii guzargaah se aa
faasla garche ziyaada hai pe yuu.n kuchh kam hai
Ahmad Faraz
Ghazal
sirf itnaa faasla hai zindagii se maut kaa
shaaKH se to.De ga.e gul-daan me.n rakkhe rahe
Rahat Indori
Ghazal
faasla chaa.nd banaa detaa hai har patthar ko
duur kii raushnii nazdiik to aane se rahii
Nida Fazli
Ghazal
tamaam umr ba.De saKHt imtihaan me.n thaa
vo faasla jo tire mere darmiyaan me.n thaa
Waseem Barelvi
Ghazal
ab ek aadh qadam kaa hisaab kyaa rakhiye
abhii talak to vahii faasla lage hai mujhe
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
faasla izzat o rusvaa.ii me.n 'vaalii'-saahab
sunte aa.e hai.n ki bas chand qadam hotaa hai
Wali Aasi
Ghazal
sab ko bachaa.o KHud bhii bacho faasla rakho
ab aur kuchh karo na karo faasla rakho
Jawad Sheikh
Ghazal
rafaaqato.n ke safar me.n to be-yaqiinii thii
ye faasla hai jo rishta banaa.e rakhtaa hai