SEARCH RESULTS
Showing search results for "faqiir"
Sher MATCHES FOR "faqiir"
Sher
saamne hai jo use log buraa kahte hai.n
jis ko dekhaa hii nahii.n us ko KHudaa kahte hai.n
Sudarshan Faakir
Sher
sunte hai.n ishq naam ke guzre hai.n ik buzurg
ham log bhii faqiir usii silsile ke hai.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
amiir-zaado.n se dillii ke mil na taa-maqduur
ki ham faqiir hu.e hai.n inhii.n kii daulat se
Meer Taqi Meer
Sher
ham to samjhe the ki barsaat me.n barsegii sharaab
aa.ii barsaat to barsaat ne dil to.D diyaa
Sudarshan Faakir
Sher
mai.n tire dar kaa bhikaarii tuu mire dar kaa faqiir
aadmii is daur me.n KHuddaar ho saktaa nahii.n
Iqbal Sajid
Sher
dekhne vaalo tabassum ko karam mat samjho
unhe.n to dekhne vaalo.n pe ha.nsii aatii hai
Sudarshan Faakir
Sher
rone vaalo.n se kaho un kaa bhii ronaa ro le.n
jin ko majbuuri-e-haalaat ne rone na diyaa
Sudarshan Faakir
Sher
zikr jab hogaa mohabbat me.n tabaahii kaa kahii.n
yaad ham aa.e.nge duniyaa ko havaalo.n kii tarah
Sudarshan Faakir
Sher
kariim jo tujhe denaa hai be-talab de de
faqiir huu.n pa nahii.n aadat-e-savaal mujhe
Meer Anees
Sher
ek do roz kaa sadma ho to ro le.n 'faakir'
ham ko har roz ke sadmaat ne rone na diyaa