SEARCH RESULTS
Showing search results for "faraar"
Sher MATCHES FOR "faraar"
Sher
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
Ahmad Faraz
Sher
zanjiir zulf-e-siyaah samundar nigaah-e-shoKH
jaa.uu.n kahaa.n faraar kaa rasta ko.ii to ho
Yaseen Zameer
Sher
qaid-e-Gam-e-hayaat bhii kyaa chiiz hai 'fanaa'
raah-e-faraar mil na sakii umr-bhar phire
Fana Nizami Kanpuri
Sher
KHud se faraar itnaa aasaan bhii nahii.n hai
saa.e kare.nge piichhaa ko.ii kahii.n se nikle
Shoaib Nizam
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
raste faraar ke sabhii masduud to na the
apnii shikast kaa mujhe kyuu.n e'tiraaf thaa
Ashar Najmi
Sher
manhuus ek shakl hai jis se nahii.n faraar
parchhaa.ii.n kii tarah se baraabar lagii hu.ii
Jamal Ehsani
Sher
hu.aa hai tujh se bichha.Dne ke baa'd ye maa'luum
ki tuu nahii.n thaa tire saath ek duniyaa thii
Ahmad Faraz
Sher
kis kis ko bataa.e.nge judaa.ii kaa sabab ham
tuu mujh se KHafaa hai to zamaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
kisii ko ghar se nikalte hii mil ga.ii manzil
ko.ii hamaarii tarah umr bhar safar me.n rahaa
Ahmad Faraz
Sher
tum takalluf ko bhii iKHlaas samajhte ho 'faraaz'
dost hotaa nahii.n har haath milaane vaalaa
Ahmad Faraz
Sher
dil ko tirii chaahat pe bharosa bhii bahut hai
aur tujh se bichha.D jaane kaa Dar bhii nahii.n jaataa
Ahmad Faraz
Sher
aa.nkh se duur na ho dil se utar jaa.egaa
vaqt kaa kyaa hai guzartaa hai guzar jaa.egaa