SEARCH RESULTS
Showing search results for "farishte"
Sher MATCHES FOR "farishte"
Sher
isii liye to yahaa.n ab bhii ajnabii huu.n mai.n
tamaam log farishte hai.n aadmii huu.n mai.n
Bashir Badr
Sher
farishte se ba.Dh kar hai insaan ban.naa
magar is me.n lagtii hai mehnat ziyaada
Altaf Hussain Hali
Sher
tar-daamanii pe shaiKH hamaarii na jaa.iyo
daaman nicho.D de.n to farishte vazuu kare.n
Khwaja Meer Dard
Sher
Munawwar Rana
Sher
farishte hashr me.n puuchhe.nge paak-baazo.n se
gunaah kyuu.n na kiye kyaa KHudaa Gafuur na thaa
Unknown
Sher
aasmaano.n se farishte jo utaare jaa.e.n
vo bhii is daur me.n sach bole.n to maare jaa.e.n
Ummeed Fazli
Sher
na mai.n KHasta-haal hotaa na ye ajnabii se lagte
ye hasii.n hasii.n farishte mujhe aadmii se lagte
Habeeb Hashmi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
kabhii dikhaa de vo manzar jo mai.n ne dekhe nahii.n
kabhii to niind me.n ai KHvaab ke farishte aa
Kumar Pashi
Sher
vo so rahaa hai KHudaa duur aasmaano.n me.n
farishte loriyaa.n gaate hai.n us ke kaano.n me.n
Abdur Rahim Nashtar
Sher
zaahid sunaa.uu.n vasf jo apnii sharaab ke
pa.Dhne lage.n daruud farishte savaab ke
Imdad Ali Bahr
Sher
Hari Chand Akhtar
Sher
baavajuude ki par-o-baal na the aadam ke
vahaa.n pahu.nchaa ki farishte kaa bhii maqduur na thaa
Khwaja Meer Dard
Sher
charaaG qaum kaa raushan hai arsh par dil ke
use havaa ke farishte bujhaa nahii.n sakte
Chakbast Braj Narayan
Sher
suntaa huu.n sura.ngo.n the farishte mire huzuur
mai.n jaane apnii zaat ke kis marhale me.n thaa
Ehsan Danish
Sher
pyaar kaa dono.n pe aaKHir jurm saabit ho gayaa
ye farishte aaj jannat se nikaale jaa.e.nge
Alok Yadav
Sher
hijr-e-jaanaa.n ke alam me.n ham farishte ban ga.e
dhyaan muddat se chhuTaa aab-o-ta.aam-o-KHvaab kaa