SEARCH RESULTS
Showing search results for "farog-e-lab-e-baam"
Sher MATCHES FOR "farog-e-lab-e-baam"
Sher
shaayad aa jaa.e kisii vaqt lab-e-baam vo chaa.nd
shaam se subah talak band dariicha na kiyaa
Masroor Jalandhari
Sher
charaaG-e-'ishq lab-e-baam chho.D aaya huu.n
rah-e-vafaa me.n tiraa naam chho.D aaya huu.n
Faisal Qadri Gunnauri
Sher
jal rahaa hai jo lab-e-baam abhii ek charaaG
bujh gayaa ye bhii to phir raat mukammal hogii
Asim nadeem Asi
Sher
us lab-e-baam se ai sarsar-e-furqat tuu bataa
misl tinke ke miraa ye tan-e-laaGar phe.nkaa
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
Shah Naseer
Sher
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
sau baar bosa-e-lab-e-shiirii.n vo de to luu.n
khaane se dil miraa abhii shakkar nahii.n phiraa
Shah Naseer
Sher
be-KHatar kuud pa.Daa aatish-e-namruud me.n ishq
aql hai mahv-e-tamaashaa-e-lab-e-baam abhii
Allama Iqbal
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
qad o gesuu lab-o-ruKHsaar ke afsaane chale
aaj mahfil me.n tire naam pe paimaane chale
Ahmad Rahi
Sher
payaam-e-zer-e-lab aisaa ki kuchh sunaa na gayaa
ishaara paate hii a.ng.Daa.ii lii rahaa na gayaa
Yagana Changezi
Sher
yaa guftuguu ho un lab-o-ruKHsaar-o-zulf kii
yaa un KHamosh nazro.n ke lutf-e-suKHan kii baat
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
ahbaab mujh se qat-e-ta.alluq kare.n 'jigar'
ab aaftaab-e-ziist lab-e-baam aa gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
usii kii shakl mujhe chaa.nd me.n nazar aa.e
vo maah-ruKH jo lab-e-baam bhii nahii.n aataa