SEARCH RESULTS
Showing search results for "farzaane"
Sher MATCHES FOR "farzaane"
Sher
sab ik charaaG ke parvaane honaa chaahte hai.n
ajiib log hai.n diivaane honaa chaahte hai.n
Asad Badayuni
Sher
hazaar sham.a farozaa.n ho raushnii ke liye
nazar nahii.n to a.ndheraa hai aadmii ke liye
Nushur Wahidi
Sher
ha.ns ke farmaate hai.n vo dekh ke haalat merii
kyuu.n tum aasaan samajhte the mohabbat merii
Ameer Minai
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
in me.n lahuu jalaa ho hamaaraa ki jaan o dil
mahfil me.n kuchh charaaG farozaa.n hu.e to hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kahaa.n hai.n aaj vo sham-e-vatan ke parvaane
bane hai.n aaj haqiiqat unhii.n ke afsaane
Siraj Lakhnavi
Sher
ham taraste hii taraste hii taraste hii rahe
vo falaane se falaane se falaane se mile
Kaif Bhopali
Sher
bujhte hu.e charaaG farozaa.n kare.nge ham
tum aa.oge to jashn-e-charaaGaa.n kare.nge ham
Wasif Dehlvi
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
bahut qadiim nahii.n kal kaa vaaqi.a hai ye
mai.n is zamiin pe utraa thaa terii zaat ke saath
Faizan Hashmi
Sher
bas yahii soch ke rahtaa huu.n mai.n zinda is me.n
ye mohabbat hai ko.ii mar nahii.n saktaa is me.n
Faizan Hashmi
Sher
jur.at-e-shauq to kyaa kuchh nahii.n kahtii lekin
paa.nv phailaane nahii.n detii hai chaadar mujh ko
Bismil Azimabadi
Sher
Faizan Hashmi
Sher
vo kyaa KHushii thii jo dil me.n bahaal rahtii thii
magar vaj.h nahii.n bantii thii muskuraane kii
Faizan Hashmi
Sher
shikva-e-hijr pe sar kaaT ke farmaate hai.n
phir karoge kabhii is mu.nh se shikaayat merii
Fani Badayuni
Sher
Bismil Saeedi
Sher
baap kaa hai faKHr vo beTaa ki rakhtaa ho kamaal
dekh aa.iine ko farzand-e-rashiid-e-sa.ng hai