SEARCH RESULTS
Showing search results for "faslo.n"
Sher MATCHES FOR "faslo.n"
Sher
qurbate.n hote hu.e bhii faaslo.n me.n qaid hai.n
kitnii aazaadii se ham apnii hado.n me.n qaid hai.n
Saleem Kausar
Sher
mai.n us ko puuj to saktaa huu.n chhuu nahii.n saktaa
jo faaslo.n kii tarah mere saath rahtaa hai
Waseem Barelvi
Sher
utrii hu.ii hai dhuup badan ke hisaar me.n
qurbat ke faaslo.n kaa safar kaaTne ke ba.ad
Zafar Iqbal Zafar
Sher
Mukhtar Siddiqui
Sher
Gair-mumkin thaa fasiile.n faaslo.n kii phaa.ndnaa
qismato.n ke faisle the tere mere darmiyaa.n
Mohammad Fakhrul Haq Noori
Sher
Bashir Badr
Sher
faasle aise bhii ho.nge ye kabhii sochaa na thaa
saamne baiThaa thaa mere aur vo meraa na thaa
Adeem Hashmi
Sher
Bashir Badr
Sher
mahak rahii hai zamii.n chaa.ndnii ke phuulo.n se
KHudaa kisii kii mohabbat pe muskuraayaa hai
Bashir Badr
Sher
Saba Afghani
Sher
duniyaa to chaahtii hai yuu.nhii faasle rahe.n
duniyaa ke mashvaro.n pe na jaa us galii me.n chal
Habib Jalib
Sher
faasla nazro.n kaa dhoka bhii to ho saktaa hai
vo mile yaa na mile haath ba.Dhaa kar dekho
Nida Fazli
Sher
Shakeb Jalali
Sher
mumkina faislo.n me.n ek hijr kaa faisla bhii thaa
ham ne to ek baat kii us ne kamaal kar diyaa