SEARCH RESULTS
Showing search results for "fasurda"
Sher MATCHES FOR "fasurda"
Sher
dil fasurda to hu.aa dekh ke us ko lekin
umr bhar kaun javaa.n kaun hasii.n rahtaa hai
Ahmad Mushtaq
Sher
Musavvir Sabzwari
Sher
Ameeta Parsuram Meeta
Sher
mai.n raat sust anaasir se ta.ng aa gayaa thaa
mirii hayaat-e-fasurda me.n rang aa gayaa thaa
Osama Zakir
Sher
fasurda-dil kabhii KHalvat na anjuman me.n rahe
bahaar ho ke rahe ham to jis chaman me.n rahe
Dagh Dehlvi
Sher
dil-e-fasurda me.n kuchh soz o saaz baaqii hai
vo aag bujh ga.ii lekin gudaaz baaqii hai
Akhtar Ansari
Sher
mai.n hii Gamgiin nahii.n tark-e-ta.alluq pe 'kamaal'
vo bhii naashaad thaa us ko bhii fasurda dekhaa
Bagh Husain Kamal
Sher
rail kii paTrii fasurda shaam teraa suitcase
phir se aa.nkho.n me.n tire jaane kaa manzar aa gayaa
Latif Shah Shahid
Sher
dil-e-fasurda ko chhii.nTe hazaar de.n aa.nsuu
jo shaaKH suukh ga.ii hai vo kyaa harii hogii
Jaleel Manikpuri
Sher
dil-e-fasurda pe sau baar taazgii aa.ii
magar vo yaad ki jaa kar na phir kabhii aa.ii
Arsh Malsiyani
Sher
Wamiq Jaunpuri
Sher
har ik fasurda qalb pe chhaa.ii shaguftagii
jab chhi.D ga.ii hai bazm me.n us gul-badan kii baat
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
puraane hai.n ye sitaare falak bhii farsuuda
jahaa.n vo chaahiye mujh ko ki ho abhii nau-KHez
Allama Iqbal
Sher
yaad-e-maazii Gam-e-imroz umiid-e-fardaa
kitne saa.e mire hamraah chalaa karte hai.n