SEARCH RESULTS
Showing search results for "fil-asl"
Sher MATCHES FOR "fil-asl"
Sher
phir is tarah kabhii soyaa na is tarah jaagaa
ki ruuh nii.nd me.n thii aur jaagtaa thaa mai.n
Obaidullah Aleem
Sher
phir is mazaaq ko jamhuuriyat kaa naam diyaa
hame.n Daraane lage vo hamaarii taaqat se
Nomaan Shauque
Sher
phir us galii se apnaa guzar chaahtaa hai dil
ab us galii ko kaun sii bastii se laa.uu.n mai.n
Jaun Eliya
Sher
phir is ke baa'd manaayaa na jashn KHushbuu kaa
lahuu me.n Duubii thii fasl-e-bahaar kyaa karte
Azhar Iqbal
Sher
phir is ke baad mirii raat be-misaal hu.ii
udhar vo shola-badan thaa idhar mai.n paanii thaa
Khalid Karrar
Sher
tirii galii ke jo phir aas-paas rahne lagaa
mai.n ha.nsne khelne vaalaa udaas rahne lagaa
Mudassir Naqvi
Sher
jis ko milnaa nahii.n phir us se mohabbat kaisii
sochtaa jaa.uu.n magar dil me.n basaa.e jaa.uu.n
Obaidullah Aleem
Sher
phir ahl-e-ishq kii taKHliiq hotii hai pahle
junuu.n kii aag me.n barso.n KHamiir rahtaa hai
Anis Abr
Sher
use ye zid thii ki phir us kaa tazkira hotaa
mai.n chup rahaa ki vo qissa puraanaa ho gayaa thaa
Ahmad Mahfuz
Sher
tum phir usii adaa se a.ng.Daa.ii le ke ha.ns do
aa jaa.egaa palaT kar guzraa hu.aa zamaana
Shakeel Badayuni
Sher
ai jalva-e-jaanaana phir aisii jhalak dikhlaa
hasrat bhii rahe baaqii armaa.n bhii nikal jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Sher
tum jise yaad karo phir use kyaa yaad rahe
na KHudaa.ii kii ho parvaa na KHudaa yaad rahe