SEARCH RESULTS
Showing search results for "fir.aun"
Sher MATCHES FOR "fir.aun"
Sher
naam teraa bhii rahegaa na sitamgar baaqii
jab hai fir.aun na cha.ngez kaa lashkar baaqii
Anees Ansari
Sher
zamaano.n baa'd mile hai.n to kaise mu.nh pheruu.n
mire liye to puraanii sharaab hai.n mire dost
Sher
gayaa jo haath se vo vaqt phir nahii.n aataa
kahaa.n umiid ki phir din phire.n hamaare ab
Hafeez Jaunpuri
Sher
KHaak mai.n us kii judaa.ii me.n pareshaan phiruu.n
jab ki ye milnaa bichha.Dnaa mirii marzii niklaa
Saqi Farooqi
Sher
saa.e kii tarah saath phire.n sarv o sanobar
tuu is qad-e-dilkash se jo gulzaar me.n aave
Mirza Ghalib
Sher
Nafas Ambalvi
Sher
gar bas chale to aap phiruu.n apne gard mai.n
ka.abe ko jaa ke kaun ho ai jaan-e-man KHaraab
Ahmad Husain Mail
Sher
aziyyato.n kii bhii apnii hii ek lazzat hai
mai.n shahr shahr phiruu.n nekiyaa.n talaash karuu.n
Anjum Khaleeq
Sher
kiyaa azal se hai saane.a ne but-parast mujhe
kabhuu buto.n se phiruu.n mai.n ye to KHudaa na kare
Mohammad Rafi Sauda
Sher
daam-bar-dosh phire.n chaahe vo gesuu bar-dosh
said ban ban ke hamii.n ne unhe.n sayyaad kiyaa
Siraj Lakhnavi
Sher
ko.ii to dekhe mirii bebasii mohabbat me.n
mai.n aap apnii jahaa.n me.n ha.nsii u.Daataa phiruu.n
Asad Awan
Sher
ghasiiTte hu.e KHud ko phiroge 'zeb' kahaa.n
chalo ki KHaak ko de aa.e.n ye badan us kaa
Zeb Ghauri
Sher
vo chiiz kahte hai.n firdaus-e-gum-shuda jis ko
kabhii kabhii tirii aa.nkho.n me.n paa.ii jaatii hai