aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "fir.aun"
duniyaa me.n paadshah hai so hai vo bhii aadmiiaur muflis-o-gadaa hai so hai vo bhii aadmiizardaar-e-be-navaa hai so hai vo bhii aadmiinemat jo khaa rahaa hai so hai vo bhii aadmiiTuk.De chabaa rahaa hai so hai vo bhii aadmiiabdaal, qutub o Gaus valii-aadmii hu.emunkir bhii aadmii hu.e aur kufr ke bharekyaa kyaa karishme kashf-o-karaamaat ke liyehattaa ki apne zohd-o-riyaazat ke zor seKHaaliq se jaa milaa hai so hai vo bhii aadmiifir.aun ne kiyaa thaa jo da.avaa KHudaa.ii kaashaddaad bhii bahisht banaa kar hu.aa KHudaanamruud bhii KHudaa hii kahaataa thaa barmalaaye baat hai samajhne kii aage kahuu.n mai.n kyaayaa.n tak jo ho chukaa hai so hai vo bhii aadmiikul aadmii kaa husn o qubah me.n hai yaa.n zuhuurshaitaa.n bhii aadmii hai jo kartaa hai makr-o-zoraur haadii rahnumaa hai so hai vo bhii aadmiimasjid bhii aadmii ne banaa.ii hai yaa.n miyaa.nbante hai.n aadmii hii imaam aur KHutba-KHvaa.npa.Dhte hai.n aadmii hii qur.aan aur namaaziyaa.naur aadmii hii un kii churaate hai.n juutiyaa.njo un ko taa.Dtaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii pe jaan ko vaare hai aadmiiaur aadmii pe teG ko maare hai aadmiipag.Dii bhii aadmii kii utaare hai aadmiichillaa ke aadmii ko pukaare hai aadmiiaur sun ke dau.Dtaa hai so hai vo bhii aadmiichaltaa hai aadmii hii musaafir ho le ke maalaur aadmii hii maare hai phaa.nsii gale me.n Daalyaa.n aadmii hii said hai aur aadmii hii jaalsachchaa bhii aadmii hii nikaltaa hai mere laalaur jhuuT kaa bharaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii hii shaadii hai aur aadmii biyaahqaazii vakiil aadmii aur aadmii gavaahtaashe bajaate aadmii chalte hai.n KHvaah-maKHvaahdau.De hai.n aadmii hii to mash.al jalaa ke raahaur byaahane cha.Dhaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii naqiib ho bole hai baar baaraur aadmii hii pyaade hai.n aur aadmii savaarhuqqa suraahii juutiyaa.n dau.De.n baGal me.n maarkaa.ndhe pe rakh ke paalkii hai.n dau.Dte kahaaraur us me.n jo pa.Daa hai so hai vo bhii aadmiibaiThe hai.n aadmii hii dukaane.n lagaa lagaaaur aadmii hii phirte hai.n rakh sar pe khuunchaakahtaa hai ko.ii lo ko.ii kahtaa hai laa re laakis kis tarah kii beche.n hai.n chiize.n banaa banaaaur mol le rahaa hai so hai vo aadmiitable majiire daa.ere saara.ngiyaa.n bajaagaate hai.n aadmii hii har ik tarah jaa-ba-jaaranDii bhii aadmii hii nachaate hai.n gat lagaaaur aadmii hii naache hai.n aur dekh phir mazaajo naach dekhtaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii hii la.al-o-javaahar me.n be-bahaaaur aadmii hii KHaak se bad-tar hai ho gayaakaalaa bhii aadmii hai ki ulTaa hai juu.n tavaagoraa bhii aadmii hai ki Tuk.Daa hai chaa.nd-saabad-shakl bad-numaa hai so hai vo bhii aadmiiik aadmii hai.n jin ke ye kuchh zarq-barq hai.nruupe ke jin ke paa.nv hai.n sone ke farq hai.njhamke tamaam Garb se le taa-ba-sharq hai.nkam-KHvaab taash shaal do-shaalo.n me.n Garq hai.naur chiitha.Do.n lagaa hai so hai vo bhii aadmiihairaa.n huu.n yaaro dekho to kyaa ye svaa.ng haiaur aadmii hii chor hai aur aapii thaang haihai chhiinaa jhapTii aur baa.ng taa.ng haidekhaa to aadmii hii yahaa.n misl-e-raa.ng haifaulaad se ga.Dhaa hai so hai vo bhii aadmiimarne me.n aadmii hii kafan karte hai.n tayaarnahlaa-dhulaa uThaate hai.n kaa.ndhe pe kar savaarkalma bhii pa.Dhte jaate hai.n rote hai.n zaar-zaarsab aadmii hii karte hai.n murde ke kaarobaaraur vo jo mar gayaa hai so hai vo bhii aadmiiashraaf aur kamiine se le shaah-taa-vaziirye aadmii hii karte hai.n sab kaar-e-dil-paziiryaa.n aadmii muriid hai aur aadmii hii piirachchhaa bhii aadmii hii kahaataa hai ai 'naziir'aur sab me.n jo buraa hai so hai vo bhii aadmii
us kii daanaa.ii kaa haasil naaKHuun-e-uqda-kushaataabnaaki-e-zamiir-o-ziirakii kaa aaftaabchaahne vaalo.n kaa us kii zikr hii kyaa kiijiyeus ke dushman bhii sirhaane rakhte hai.n us kii kitaabmaaddii taariiKH-e-aalam jis kii taaliif-e-aziimtaas kaipiTaal hai yaa ziist kaa lubb-e-lubaabpa.Dh ke jis ke ho ga.ii.n hushyaar aqvaam-e-Gulaamishtiraakii falsafa kaa khul gayaa har dil me.n baabkitne dozaKH us ke ik manshuur se jannat banekitne sahraa.o.n ko jis ne kar diyaa shahr-e-gulaabmarx ne science o insaa.n ko kiyaa hai ham-kanaarzehn ko baKHshaa shu.uur-e-zindagaanii kaa nisaabus kii biinish us kii vajdaanii-nigaah-e-haq-shanaaskar ga.ii jo chehra-e-iflaas-e-zar ko be-naqaab'Gasab-e-ujrat' ko diyaa 'sarmaayaa' kaa jis ne laqabbe-hisaab us kii basiirat us kii mantiq laa-javaabaaftaab taaza kii us ne bashaarat dii hame.nus kii har peshan-go.ii hai barafganda naqaabko.ii quvvat us kii sadd-e-raah ban saktii nahii.nvaqt kaa farmaan jab aataa hai ban kar inqilaabahl-e-daanish kaa rajaz aur siina-e-dahqaa.n kii Dhaallashkar mazduur ke hai.n ham-safiir o ham-rikaabkaaTtii hai sehr-e-sultaanii ko jab muusaa kii zarbsatvat-e-firaun ho jaatii hai az KHud Garq-e-aabaaj kii fir.auniyat bhii kuchh isii andaaz serafta rafta hotii jaa.egii shikaar-e-inqilaabla.D rahaa hai ja.ng aaKHir kiisa-e-sarmaaya-daarjauhrii hathiyaar se kartaa nahii.n jo ijtinaabapne mustaqbil se taaGuutii tamaddun ko hai yaasdiidanii hai dushman-e-insaaniyat kaa iztiraabhazrat-e-iqbaal kaa ibliis-e-kochak KHauf selarza-bar-andaam yuu.n shaitaa.n se kartaa hai KHitaabpanDit o mullaa o raahib be-zarar Thahre magarTuuTne vaalaa hai tujh par ik yahuudii kaa itaabvo kaliim-e-be-tajallii vo masiih-e-be-saliibniist paiGambar o lekin dar baGal daarad kitaab
mahr sadiyo.n se chamaktaa hii rahaa aflaak parraat hii taarii rahii insaan ke idraak paraql ke maidaan me.n zulmat kaa Deraa hii rahaadil me.n taariikii dimaaGo.n me.n a.ndheraa hii rahaaik na ik maz.hab kii sa.ii-e-KHaam bhii hotii rahiiahl-e-dil par baarish-e-ilhaam bhii hotii rahiiaasmaano.n se farishte bhii utarte hii rahenek bande bhii KHudaa kaa kaam karte hii raheibn-e-maryam bhii uThe muusii-e-imraa.n bhii uTheraam o gautam bhii uThe fir.aun o haamaa.n bhii uTheahl-e-saif uThte rahe ahl-e-kitaab aate raheii.n janaab uThte aur aa.n-janaab aate rahehukmaraa.n dil par rahe sadiyo.n talak asnaam bhiiabr-e-rahmat ban ke chhaayaa dahr par islaam bhiimasjido.n me.n maulvii KHutbe sunaate hii rahemandiro.n me.n barhaman ashlok gaate hii raheaadmii minnat-kash-e-arbaab-e-irfaa.n hii rahaadard-e-insaanii magar mahruum-e-darmaa.n hii rahaaik na ik dar par jabiin-e-shauq ghistii hii rahiiaadamiyyat zulm kii chakkii me.n pastii hii rahiirahbarii jaarii rahii paiGambarii jaarii rahiidiin ke parde me.n ja.ng-e-zargarii jaarii rahiiahl-e-baatin ilm se siino.n ko garmaate rahejahl ke taariik saa.e haath phailaate raheye musalsal aafate.n ye yorish ye qatl-e-aamaadmii kab tak rahe auhaam-e-baatil kaa Gulaamzehan-e-insaanii ne ab auhaam ke zulmaat me.nzindagii kii saKHt tuufaanii a.ndherii raat me.nkuchh nahii.n to kam se kam KHvaab-e-sahar dekhaa to haijis taraf dekhaa na thaa ab tak udhar dekhaa to hai
talaash karte hu.e gum-shuda KHazaano.n kobahut se misr ke fir.aun maqbaro.n me.n milezabaan-e-sa.ng me.n jo ham-kalaam hote hai.nkuchh aise log puraane musass me.n milebuland-baam kaliisaa me.n the vahii fankaarjo KHasta-haal masaajid ke gumbado.n me.n milemarii thakii hu.ii KHvaabiidgii se naalaa.n thevo rat-jage jo masaa.il kii karvaTo.n me.n mileka.ii suraaG nazar aa.e daastaano.n me.nka.ii charaaG kitaabo.n ke haashiyo.n me.n mile
june kii garmii ka.Daktii dhuup luu chaltii hu.iihar gha.Dii mazduur ke sar se qazaa Taltii hu.iisar pe gaare kii ka.Dhaa.ii aur diivaar-e-bulandhaa.nptaa vo cha.Dh rahaa hai le ke himmat kii kamandpaa.D par pahu.nchaa to ik gaalii sunii me.amaar sejii me.n aayaa sar ko Takraa de usii diivaar sehaa.e us mazluum kii majbuuriyaa.n naa-chaariyaa.njaan kaa aazaar hai.n iflaas kii biimaariyaa.ndil me.n kahtaa hai ki ye me.amaar bhii mazduur haiphir yahii jaan-e-hazii.n kyuu.n is qadar maqhuur haius kii ujrat mujh se dugunii hai magar kam hai shu.uurtamkanat kis baat par kis chiiz par itnaa Guruurmai.n agar naadaar huu.n ye bhii nahii.n sarmaaya-daarbhuut vo hai kis ba.Daa.ii kaa jo us par hai savaarii.nT gaaraa mai.n na duu.n us ko to ye kis kaam kaaasl me.n me.amaar mai.n huu.n ye faqat hai naam kaamerii himmat kah rahii.n hai.n kaaKH-e-diivaan-e-bulandaah is par bhii mai.n duniyaa me.n huu.n itnaa mustamandlag gayaa phir kaam me.n ye soch kar vo bad-nasiibai KHudaa duniyaa me.n itnaa bhii na ho ko.ii Gariibdin Dhalaa jis vaqt maalik bhii makaa.n kaa aa gayaaik sukuut-e-marg saa diivaar-o-dar par chhaa gayaakaa.nptaa rahtaa hai har mazduur jis ke naam sesab usii dhun me.n the vo KHush ho hamaare kaam seus kii peshaanii pe lekin bal zaraa aane lagephan uThaa kar tamkanat ke saa.np lahraane lagesab se pahle us ne gaalii dii usii me.amaar koapnii milkiyyat jo samjhaa thaa har ik diivaar kojosh-e-naKHvat se kahaa us ne ki ai paajii la.ii.nkal jahaa.n tak thii ga.ii diivaar ab bhii hai vahii.nkyaa kiyaa hai tuu ne din-bhar me.n zaraa mujh ko bataayuu.n takabbur me.n vo aa kar jaa.eza lene lagaadil me.n vo mazduur phir kahne lagaa uf re Gazabjo bhii is duniyaa me.n hai.n fir.aun hai.n vo sab ke sabjis kaa jis par bas chale paamaal kartaa hai useKHud agar KHush-haal hai bad-haal kartaa hai usekyaa kahuu.n sarmaaya-daaro.n ke sitam kii daastaa.ndiida-e-mazduur hai mazduur se bhii KHuu.nfishaa.njis kii laaThii us kii bhai.ns is misl ko saadiq samajhye samajh kar is KHudaa-e-paak ko raaziq samajh
ham ne fir.aun kaa qasiida likhaaham ne kuufe me.n marsiye becheham ne boso.n kaa kaarobaar kiyaaham ne aa.nkho.n ke aa.ine beche
bolaa cigarette ki bashar shikva-kunaa.n hai.n teredar-o-diivaar pe paiiko.n ke nishaa.n hai.n terejo lipstick me.n hai.n vo jalve kahaa.n hai.n tereKHud to halkaa hai pa nuqsaan giraa.n hai.n terena Gizaa me.n na davaa me.n hai to phir kaun hai tuutuu halaakuu hai ki taimuur ki fir.aun hai tuu
par manzar-e-Guruub bahut dil-nashii.n hai kyuu.nmaGrib kii shaam apnii sahar se hasii.n hai kyuu.nis kashmakash me.n daulat-e-uqbaa bhii chhin ga.iizauq-e-junuu.n se vus.at-e-sahraa bhii chhin ga.iisahraa-e-aarzuu me.n tag-o-dau nahii.n rahiipaa-e-talab se vaadii-e-siinaa bhii chhin ga.iituu ne to qartaba me.n namaaze.n bhii kii.n adaaapnii jabii.n se masjid-e-aqsaa bhii chhin ga.iikohsaar rau.nd Daale ga.e khet ho ga.echaTTaan ham zaruur the ab ret ho ga.emanzil pe aa ke luT ga.e ham rahbaro.n ke saathbiimaar bhii pa.De hai.n to chaaragaro.n ke saathGurbat-kade me.n kaash utar aa.e kahkashaa.naa.nkhe.n falak kii samt hai.n bojhal saro.n ke saathu.Dnaa muhaal lauT ke aanaa bhii hai vabaalzaKHmii du.aa KHalaa me.n hai TuuTe paro.n ke saathis razm-e-KHair-o-shar me.n hu.aa kaun suraKH-ruuzarb-e-kaliim kund hai fir.aun surKH-ruu
la.al-o-gauhar KHazaaneshahd-o-gandum se zuruuf uble hu.etaKHt-o-taaj-o-mohr-e-shaahii ke nigahbaa.nharba-haa-e-aahan-o-faulaadaur daste Gulaamaan-e-javaa.n kekaahino.n kii phuu.nkhaamaano.n kii tadbiir-e-siyaasat me.n zahr-e-halaahilpaasbaanii me.n maganso rahe hai.n an-ginat fir.aunai baad-e-sabaa aahista chal
qaatil-o-maqtuul baraabarzaalim-o-mazluum baraabarqalam bhii banduuq baraabarma.atuub-o-mahbuub baraabarapnii goyaa saathii kiihar ik KHaatuun baraabarna.ii daanishvarii jo pa.Dhiimuusaa-o-qaaruun baraabarzulm to sab par saa.njhaa thaabanii-israa.iil-o-fir.aun baraabarmaa.n chaahe rotii raheshahiid bachche aur mal.uun baraabarbaloch jo ghar se Gaa.eb hai.nsab par magar qaanuun baraabarzulm kii andhii fikr me.nyaziid-o-husain baraabarna.ii na.ii pa.Dhii sahaafatmash.al-o-hujuum baraabara.ndheraa bhii ujaale saa haizulmat-o-nuur baraabarbasiirat par parda pa.Daasach aur har ik jhuuT baraabarulTii ga.ngaa bahtii haimadaarii-o-aflaatuun baraabarjab tak apnaa na baheaab-o-KHuun baraabarik un kaa bhii maar giraa.ophir kahnaa maarne vaalaa aur marhuum baraabar
ek hai bas yahaa.n ''aalamgiir''aur maqtal me.n akelaa 'sarmad'ruKH-e-taariiKH badalne ko haius ke ash.aar hii se taKHt laraz jaataa haiaaise advaar ka.ii baar zamii.n par guzrekaise talvaar ne maftuuh qalam karne kohaath kaaTe hai.n zabaa.n kaaTii hai sar kaaTe hai.nham ne dekhaa hai khulii aa.nkho.n seaaj kii kaun kare ab ta.aziimkal kii takziib nahii.n ho saktiiraakh se ghar to nahii.n ban saktekoh me.n dar to nahii.n ban sakteKHvaab fariyaad nahii.n kar sakteKHvaab dekhaa hai khulii aa.nkho.n sechaa.nd ko KHuu.n me.n nahaate ham nesar khule dasht ko maatam karteaur mahallaat ko kha.nDaro.n me.n badalte dekhaakizb ko adl kaa har faisla karte dekhaataKHt ko vaqt kaa fir.aun bhii bante dekhaazer-e-shamshiir ye 'sarmad' ne kahaa ha.nste hu.e''masnad-e-adl-o-musaavaat yahaa.n kuchh bhii nahii.n''laa'' bhii hai ek gumaa.naur gumaa.n kuchh bhii nahii.n''
jab yuu.n na ho sakaa to ye taariiKH hai gavaahuTThe asaa-ba-dast Gulmaan-e-kaj-kulaahzer-e-zamii.n kushaada hu.ii zindagii kii raahaur kuchh na kar sakii kisii fir.aun kii sipaah
KHvaab garmii kii chuTTiyo.n pe ga.eho ga.e band gate aa.ankho.n keishq ko daaKHila milaa hii nahii.nKHvaahishe.n lockero.n me.n qaid rahii.njo bike us ke daam achchhe ho.nzindagii ho ki ko.ii titlii hobe-sabaatii ke rang kachche hai.nkaun batlaa.e un zamiino.n koja.ngalo.n ke ghane daraKHto.n me.ngar KHizaa.n bele-Dance kartii homisr ko kaun yaad kartaa haikam nahii.n lucknow kii umraa.ois se behtar yahaa.n pe hai.n fir.aunkaun saa devtaa aur kyaa ra.amiismirzaa-'vaajid'-alii bhii kam to nahii.n
nubuvvat kaa silsila KHatm ho chukaara.uunat kaa silsila jaarii haiab ko.ii zamaanakisii nabii kaa zamaana nahii.nhar daurek fir.aun kaa daur haijis ke qabze me.nqaaruun kaa KHazaana haijis neambiyaa kii miiraas par qabza kar liyaa haiuse pahchaan.naa mushkil nahii.nus ke paastauhiin risaalat kii talvaar haijo us par iimaan na laa.e.nvo laapataa ho jaate hai.njo iimaan le aa.e.nunhe.n vo KHizr kii tarah talaash kar letaa hainuuh kii tarahus kii kashtii me.nhar-nau kaa jaanvar haius ke mahal me.nsulaimaan kaa taKHt bichhaa haimuKHaalifiin ke liyeus ke qaid-KHaane me.niisaa kii suulii haifarishto.n kaa lashkar use sajda kartaa haikyuu.nki us kii baGal me.nmuusaa kaa asaa hai
ki in fir.aun-zaado.n se ye puuchhe.n kaun ho tummagar ye hausla kab hai kisii me.nlog to ranjuur baiThe hai.nki jab qabre.n bulaa.e.ngiito sar par KHaak o.Dhe.nge
tujh ko bhii kuchh KHabar hai duniyaa banaane vaaleye kaar-gaah-e-hastii baazaar-e-auj-o-pastiile dekh ho rahii hai bechainiyo.n kii bastiitujh ko bhii kuchh KHabar hai duniyaa banaane vaale2phuulo.n ke chaak daamaa.n Guncho.n me.n soz-e-pinhaa.ngulshan bahaar me.n bhii be-kaif-o-dard-saamaa.nsoz-e-daruu.n nahii.n hai josh-e-junuu.n nahii.n haidil hii se aashiqii thii dil hii me.n KHuu.n nahii.n haipaimaane uTh ga.e hai.n maiKHaane uTh ga.e hai.nviiraaniyaa.n salaamat diivaane uTh ga.e hai.ntujh ko bhii kuchh KHabar hai duniyaa banaane vaale3maamuur-e-Gam hai duniyaa daar-e-alam hai duniyaadaam-e-tava.nagrii me.n said-e-sitam hai duniyaaaare se chal rahe hai.n naqshe badal rahe hai.ninsaa.n kaa KHuun pii kar insaan pal rahe hai.nmafquud KHurramii hai har bazm maatamii haiis Gam-kade kii har shai goyaa jahannamii haitujh ko bhii kuchh KHabar hai duniyaa banaane vaale4ai kaar-saaz-e-aalam ai be-niyaaz-e-aalamma.amuur-e-soz-e-Gam hai kab se ye saaz-e-aalammaayuus ho chuke hai.n himmat hii kho chuke hai.ninsaa.n bhalaa.iyo.n kii qismat ko ro chuke hai.nbarbaad ho rahe hai.n naashaad ho rahe hai.nbande tire saraapaa fariyaad ho rahe hai.ntujh ko bhii kuchh KHabar hai duniyaa banaane vaale5haivaan bhii nahii.n hai.n insaan bhii nahii.n hai.ninsaa.n-numaa darinde shaitaan bhii nahii.n hai.nye zohd kii dukaane.n ye ma.asiyat kii kaane.nye vaa.izo.n ke mu.nh me.n chaltii hu.ii zabaane.nfir.aun ho rahe hai.n mal.uun ho rahe hai.nmaz.hab-farosh mullaa qaaruun ho rahe hai.ntujh ko bhii kuchh KHabar hai duniyaa banaane vaale6ai be-niyaaz-e-hastii ai kaar-saaz-e-hastiikab tak rahegaa yuu.nhii poshiida raaz-e-hastiiko.ii nahii.n hamaaraa ko.ii nahii.n sahaaraakis samt bah rahii hai ye zindagii kii dhaaraafikr-e-davaa nahii.n hai zikr-e-du.aa nahii.n haidil kah rahaa hai ab to ko.ii KHudaa nahii.n haitujh ko bhii kuchh KHabar hai tujh ko bhii kuchh KHabar hai
kisii mazluum par laaThii chalaataa haivo jo fir.aun ban kar KHud ko us mazluum kaa aaqaa bataataa haiKHudaa hone kaa da.avaa hii nahii.n kartaaKHudaa.ii kii hado.n ko chhuu ke aataa hai
ye hai alaamat-e-fistaa.iyat giraa.o sehamaare bachcho.n ke school se haTaa.o iseye KHuunii-qila kaa phaaTak hai yaa dahaan-e-jahiimfasiil-e-sa.ng ibaarat hai KHuu.n ke dhabbo.n sediye lahuu.n ke farozaa.n kiye hu.e har taaqhai jin ke saamne KHiira talaa o gauhar o siimsadaa-e-raqs nikaltii hu.ii jharo.nko.n sekisii hasiina-e-fir.aun kaa mahal jaisesutuun marmarii.n a.ng.Daa.ii le ke nii.nd me.n chuurlibaas-e-barahnagii me.n nihaa.n qalo-patramiyaan-e-niil ko.ii laash dekh kar ha.ns de
bujh ga.ii sham-e-nazar miT ga.e aavaaz ke naqshbuu-e-gul, juu-e-sabaa, najm-e-sahar kuchh na rahaalarzish-e-mauj-e-tanaffus ke karishme the tamaamruu-e-jaanaa.n Gam-e-jaa.n diida-e-tar kuchh na rahaanasl-dar-nasl yuu.nhii mere lahuu kaa pyaasaanaar-e-namruud bhii vo naKHvat-e-fir.aun bhii vojaam-e-zahraab bhii vo tesha bhii vo daar bhii voKHanjar-e-shimr bhii vo tarkash-e-cha.ngez bhii voasia me.n kabhii africa me.n KHuu.n-rez bhii vo
zamii.n par shor barpaa thaayahaa.n sikka hamaaraa haikahii.n fir.aun kii marziikahii.n namruud haakim haikahii.n shaddaad kii jannatkahii.n qaaruun kahtaa haiyahaa.n hadd-e-nazar tak jis ko bhii jo kuchh nazar aa.efaqat maalik hai.n ham is kehamaarii baargaaho.n me.nsar-e-tasliim KHam kar doachaanakzalzala aayazamii.n kii jumbihso.n me.n sab tah-o-baalaa nazar aa.esukaaraa hii sukaaraa kaa ajab maahaul barpaa thaafalak se tab sadaa guu.njiimirii duniyaa mirii marzii
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books