SEARCH RESULTS
Showing search results for "fitna-e-shar"
Sher MATCHES FOR "fitna-e-shar"
Sher
chaar-suu aatish-zanii kohraam curfew luuT maar
fitna-o-shar daur-e-haazir kaa muqaddar ban gayaa
Ayub Asar
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
Tauheed Zeb
Sher
'faraaz' ishq kii duniyaa to KHuub-suurat thii
ye kis ne fitna-e-hijr-o-visaal rakkhaa hai
Ahmad Faraz
Sher
Syed Amin Ashraf
Sher
jab tak ki na dekhaa thaa qad-e-yaar kaa aalam
mai.n mo'taqid-e-fitna-e-mahshar na hu.aa thaa
Mirza Ghalib
Sher
ye mere paas jo chup-chaap aa.e baiThe hai.n
hazaar fitna-e-mahshar uThaa.e baiThe hai.n
Nooh Narvi
Sher
Tanveer Monis
Sher
Fuzail Jafri
Sher
tuu na karnaa maGribii matvaaliyo.n kii race dekh
ghaat me.n terii lagaa hai fitna-e-ibliis dekh
Josh Malihabadi
Sher
kaar-e-zindagaanii ke shor-o-shar me.n muddat se
us ko bhuul jaane kaa ehtimaal rahtaa hai
Mustafa Shahab
Sher
mujh se bhii raahgiir se bhii raah yaar ko
yaksaa.n hai dono.n paa.nv tale KHair-o-shar kii raah
Imdad Ali Bahr
Sher
ko.ii fitna na uThaa fitna-e-qaamat kii tarah
ko.ii jaaduu nazar aayaa na nazar kii suurat
Jaleel Manikpuri
Sher
kitnii dushvaar hai piiraan-e-haram kii manzil
is taraf fitna-e-ibliis udhar rabb-e-jaliil
Asrarul Haq Majaz
Sher
mai.n to laa.eq nahii.n thaa shar ke bhii
rakh diye us ne KHair-o-shar mujh me.n
Shahnawaz Farooqi
Sher
jab ko.ii fitna-e-ayyaam nahii.n hotaa hai
zindagii kaa ba.Dii mushkil se yaqii.n hotaa hai
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
mohabbat zulf kaa aaseb jaaduu hai nigaaho.n kaa
mohabbat fitna-e-mahshar balaa-e-naa-gahaanii hai
Khar Dehlavi
Sher
gul khilaa.e na kahii.n fitna-e-dauraa.n kuchh aur
aaj-kal daur-e-mai-o-jaam se jii Dartaa hai
Akhtar Ansari Akbarabadi
Sher
ai ahl-e-vatan shaam-o-sahar jaagte rahnaa
aGyaar hai.n aamaada-e-shar jaagte rahnaa