SEARCH RESULTS
Showing search results for "fursat-e-yak-nafas"
Sher MATCHES FOR "fursat-e-yak-nafas"
Sher
ham yahaa.n kaaTne aa.e hai.n shab-e-furqat-e-yaar
ham zaraa bhii hai.n agar KHush to Ganiimat jaano
Bhaskar Shukla
Sher
furqat-e-yaar me.n insaan huu.n mai.n yaa ki sahaab
har baras aa ke rulaa jaatii hai barsaat mujhe
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
fursat me.n ik nafas ke kyaa dard-e-dil sunoge
aa.e to tum va-lekin vaqt-e-aKHiir aa.e
Meer Taqi Meer
Sher
'farhat' tire naGmo.n kii vo shohrat hai jahaa.n me.n
vallaah tiraa ra.ng-e-suKHan yaad rahegaa
Farhat Kanpuri
Sher
mohabbat kii hame.n fursat nahii.n thii
jamaal-e-yaar ne chau.nkaa diyaa thaa
Neelma Naheed Durrani
Sher
dair-o-haram pukaarne aa.e hame.n magar
lekin KHayaal-e-yaar se fursat nahii.n milii
Bushra Bakhtiyar Khan
Sher
Shah Naseer
Sher
furqat kii raat vasl kii shab kaa maza milaa
pahro.n KHayaal-e-yaar se baate.n kiyaa kiye
Mardan Ali Khan Rana
Sher
mausam-e-yaad yuu.n ujlat me.n na vaare jaa.e.n
ham vo lamhe hai.n jo fursat se guzaare jaa.e.n
Kuldeep Kumar
Sher
aa.nkho.n se dil ke diid ko maan.e nahii.n nafas
aashiq ko ain-hijr me.n bhii vasl-e-yaar hai
Ishq Aurangabadi
Sher
shirkat-e-Gam bhii nahii.n chaahtii Gairat merii
Gair kii ho ke rahe yaa shab-e-furqat merii
Dagh Dehlvi
Sher
sar salaamat liye lauT aa.e galii se us kii
yaar ne ham ko ko.ii Dha.ng kii KHidmat nahii.n dii
Farhat Ehsas
Sher
jab bhii fursat milii ha.ngaama-e-duniyaa se mujhe
merii tanhaa.ii ko bas teraa pata yaad aayaa
Aleena Itrat
Sher
Gam-e-hayaat se itnii bhii hai kahaa.n fursat
ki terii yaad me.n jii bhar ke ro liyaa jaa.e