SEARCH RESULTS
Showing search results for "gaaliban"
Sher MATCHES FOR "gaaliban"
Sher
har qadam pe naakaamii har qadam pe mahruumii
Gaaliban ko.ii dushman dosto.n me.n shaamil hai
Ameer Qazalbash
Sher
use ab bhuul jaane kaa iraada kar liyaa hai
bharosa Gaaliban KHud par ziyaada kar liyaa hai
Ata ul Haq Qasmi
Sher
Irfan Sattar
Sher
mai.n phir rahaa huu.n shahr me.n sa.Dko.n pe Gaaliban
aavaaz de ke mujh ko miraa ghar pukaar le
Aleem Saba Navedi
Sher
haadso.n ke KHauf se ehsaas kii had me.n na thaa
varna nafs-e-mutma.in saffaak hotaa Gaaliban
Rahi Fidai
Sher
aap ne achchhaa kiyaa tathiir-e-KHvaahish hii na kii
varna zamzam chashma-e-naapaak hotaa Gaaliban
Rahi Fidai
Sher
ik shahanshaah ne daulat kaa sahaaraa le kar
ham Gariibo.n kii mohabbat kaa u.Daayaa hai mazaaq
Sahir Ludhianvi
Sher
azaab hotii hai.n aksar shabaab kii gha.Diyaa.n
gulaab apnii hii KHushbuu se Darne lagte hai.n
Badr Wasti
Sher
mil hii jaa.egaa kabhii dil ko yaqii.n rahtaa hai
vo isii shahr kii galiyo.n me.n kahii.n rahtaa hai
Ahmad Mushtaq
Sher
bhuuk chehro.n pe liye chaa.nd se pyaare bachche
bechte phirte hai.n galiyo.n me.n Gubaare bachche