SEARCH RESULTS
Showing search results for "garam"
Sher MATCHES FOR "garam"
Sher
sailaab-e-ishq Garq-kun-e-aql-o-hosh thaa
ik bahar thaa ki shaam-o-sahar garam-josh thaa
Mael Lakhnavi
Sher
kal jo qaatil the vahii aa.e masiihaa ban kar
rahiye in logo.n se hushyaar chanaa jor garam
Asrar jamayee
Sher
dal-badal jitne hai.n kahte hai.n ye siina taane
ham hai.n 'Gaalib' ke taraf-daar chanaa jor garam
Asrar jamayee
Sher
Garaz ki kaaT diye zindagii ke din ai dost
vo terii yaad me.n ho.n yaa tujhe bhulaane me.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
kis ne bhiige hu.e baalo.n se ye jhaTkaa paanii
jhuum ke aa.ii ghaTaa TuuT ke barsaa paanii
Arzoo Lakhnavi
Sher
ab to ghabraa ke ye kahte hai.n ki mar jaa.e.nge
mar ke bhii chain na paayaa to kidhar jaa.e.nge
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Shahab Jafri
Sher
Javed Akhtar
Sher
judaa kisii se kisii kaa Garaz habiib na ho
ye daaG vo hai ki dushman ko bhii nasiib na ho
Nazeer Akbarabadi
Sher
jis tarah ha.ns rahaa huu.n mai.n pii pii ke garm ashk
yuu.n duusraa ha.nse to kaleja nikal pa.De
Kaifi Azmi
Sher
sirf ik qadam uThaa thaa Galat raah-e-shauq me.n
manzil tamaam umr mujhe Dhuu.nDhtii rahii
Abdul Hamid Adam
Sher
miTTii pe numuudaar hai.n paanii ke zaKHiire
in me.n ko.ii aurat se ziyaada nahii.n gahraa
Sarvat Husain
Sher
haa.n samundar me.n utar lekin ubharne kii bhii soch
Duubne se pahle gahraa.ii kaa andaaza lagaa