SEARCH RESULTS
Showing search results for "garq"
Sher MATCHES FOR "garq"
Sher
Allama Iqbal
Sher
Mirza Ghalib
Sher
hamesha aag ke dariyaa me.n ishq kyuu.n utre
kabhii to husn ko Garq-e-azaab honaa thaa
Karamat Ali Karamat
Sher
gila likhuu.n mai.n agar terii bevafaa.ii kaa
lahuu me.n Garq safiina ho aashnaa.ii kaa
Mohammad Rafi Sauda
Sher
dekhaa hai kis nigaah se tuu ne sitam-zariif
mahsuus ho rahaa hai mai.n Garq-e-sharaab huu.n
Abdul Hamid Adam
Sher
ek din Garq na kar de tujhe ye sail-e-vajuud
dekh ho jaa.e na paanii kahii.n sar se uu.nchaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
ab Garq huu.n mai.n aaTh pahar mai kii yaad me.n
tauba ne mujh ko aur gunahgaar kar diyaa
Jaleel Manikpuri
Sher
mazaa tabhii hai mohabbat me.n Garq hone kaa
mai.n Duub jaa.uu.n to ye ho ki tuu bhii to na rahe
Ameeta Parsuram Meeta
Sher
hamaarii kashtii-e-tauba kaa ye hu.aa anjaam
bahaar aate hii Garq-e-sharaab ho ke rahii
Jaleel Manikpuri
Sher
mai.n Garq ho rahaa thaa ki tuufaan-e-ishq ne
ik mauj-e-be-qaraar ko saahil banaa diyaa
Dil Shahjahanpuri
Sher
Garq kartaa hai na detaa hai kinaara hii mujhe
us ne merii zaat me.n kaisaa samundar rakh diyaa
Ahmad Shanas
Sher
ai 'naqsh' kar rahaa thaa jinhe.n Garq naaKHudaa
tuufaa.n ke zor se vo safiine ubhar ga.e
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
the us ke haath lahuu me.n hamaare Garq magar
zaraa bhii sharm na aa.ii use mukarte hu.e
Farrukh Jafari
Sher
naav kaaGaz kii tan-e-KHaakii-e-insaa.n samjho
Garq ho jaa.e.ngii chhii.nTaa jo pa.Daa paanii kaa