SEARCH RESULTS
Showing search results for "ghasiiTaa"
Sher MATCHES FOR "ghasiiTaa"
Sher
jaanib-e-maqtal ghasiiTaa jaa rahaa hai
mujh pe ye ilzaam hai mai.n aadmii huu.n
Ahmad Waqas Mahrwi
Sher
kis ne bhiige hu.e baalo.n se ye jhaTkaa paanii
jhuum ke aa.ii ghaTaa TuuT ke barsaa paanii
Arzoo Lakhnavi
Sher
ye daaG daaG ujaalaa ye shab-gaziida sahar
vo intizaar thaa jis kaa ye vo sahar to nahii.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ghasiiTte hu.e KHud ko phiroge 'zeb' kahaa.n
chalo ki KHaak ko de aa.e.n ye badan us kaa
Zeb Ghauri
Sher
kab se Tahal rahe hai.n garebaan khol kar
KHaalii ghaTaa ko kyaa kare.n barsaat bhii to ho
Adil Mansuri
Sher
zindagii firdaus-e-gum-gashta ko paa saktii nahii.n
maut hii aatii hai ye manzil dikhaane ke liye
Hafeez Jalandhari
Sher
surKHii shafaq kii zard ho gaalo.n ke saamne
paanii bhare ghaTaa tire baalo.n ke saamne
Muneer Shikohabadi
Sher
bazm se duur vo gaataa rahaa tanhaa tanhaa
so gayaa saaz pe sar rakh ke sahar se pahle
Makhdoom Mohiuddin
Sher
yaaro ye daur zof-e-basaarat kaa daur hai
aa.ndhii uThe to us ko ghaTaa kah liyaa karo
Qateel Shifai
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
maan mausam kaa kahaa chhaa.ii ghaTaa jaam uThaa
aag se aag bujhaa phuul khilaa jaam uThaa
Bashir Badr
Sher
Shabbir Hasan
Sher
dil kii baate.n duusro.n se mat kaho luT jaa.oge
aaj kal iz.haar ke dhandhe me.n hai ghaaTaa bahut