SEARCH RESULTS
Showing search results for "ghutaa"
Sher MATCHES FOR "ghutaa"
Sher
zabt kartaa huu.n to ghuTtaa hai qafas me.n miraa dam
aah kartaa huu.n to sayyaad KHafaa hotaa hai
Qamar Jalalvi
Sher
is KHaak-daan-e-dahr me.n ghuTtaa agar hai dam
maqduur ho to aag lagaa de havaa na maa.ng
Natiq Gulavthi
Sher
kis ne bhiige hu.e baalo.n se ye jhaTkaa paanii
jhuum ke aa.ii ghaTaa TuuT ke barsaa paanii
Arzoo Lakhnavi
Sher
zamaana husn nazaakat balaa jafaa shoKHii
simaT ke aa ga.e sab aap kii adaa.o.n me.n
Kalidas Gupta Raza
Sher
dikhaavaa hii karnaa hai to phir ba.Daa kar
tuu shaa.ir nahii.n KHud ko aashiq kahaa kar
Anant Gupta
Sher
ghuTan sii hone lagii us ke paas jaate hu.e
mai.n KHud se ruuTh gayaa huu.n use manaate hu.e
Azhar Iqbal
Sher
lamhe udaas udaas fazaa.e.n ghuTii ghuTii
duniyaa agar yahii hai to duniyaa se bach ke chal
Shakeel Badayuni
Sher
ko.ii to phuul khilaa.e du.aa ke lahje me.n
ajab tarah kii ghuTan hai havaa ke lahje me.n
Iftikhar Arif
Sher
kahte nahii.n hai.n haal kisii raazdaa.n se ham
vaaqif hu.e hai.n jab se fareb-e-jahaa.n se ham
Geeta Thakur Raushni
Sher
kab se Tahal rahe hai.n garebaan khol kar
KHaalii ghaTaa ko kyaa kare.n barsaat bhii to ho
Adil Mansuri
Sher
surKHii shafaq kii zard ho gaalo.n ke saamne
paanii bhare ghaTaa tire baalo.n ke saamne
Muneer Shikohabadi
Sher
bazm se duur vo gaataa rahaa tanhaa tanhaa
so gayaa saaz pe sar rakh ke sahar se pahle
Makhdoom Mohiuddin
Sher
yaaro ye daur zof-e-basaarat kaa daur hai
aa.ndhii uThe to us ko ghaTaa kah liyaa karo
Qateel Shifai
Sher
allaah tere haath hai ab aabruu-e-shauq
dam ghuT rahaa hai vaqt kii raftaar dekh kar