SEARCH RESULTS
Showing search results for "giile"
Sher MATCHES FOR "giile"
Sher
apne sabhii gile bajaa par hai yahii ki dilrubaa
meraa tiraa mo.aamla ishq ke bas kaa thaa nahii.n
Jaun Eliya
Sher
bazm-e-vafaa sajii to ajab silsile hu.e
shikve hu.e na un se na ham se gile hu.e
Yazdani Jalandhari
Sher
gale se lagte hii jitne gile the bhuul ga.e
vagarna yaad thii.n ham ko shikaayate.n kyaa kyaa
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
bas is sabab se ki tujh par bahut bharosa thaa
gile na ho.n bhii to hairaaniyaa.n to hotii hai.n
Ahmad Faraz
Sher
giile baalo.n ko sambhaal aur nikal jangal se
is se pahle ki tire paa.nv ye jharnaa pa.D jaa.e
Azhar Faragh
Sher
sub.h ke shahr me.n ik shor hai shaadaabii kaa
gil-e-diivaar zaraa bosa-numaa ho jaanaa
Sarvat Husain
Sher
sote me.n vo jo mujh se ham-aaGosh ho ga.e
jitne gile the KHvaab-e-faraamosh ho ga.e
Jaleel Manikpuri
Sher
Manzoor Hashmi
Sher
dariyaa me.n Dubo de.nge sabhii shikve gile ham
saahil pe mulaaqaat mulaaqaat rahegii
Nasim Zahid
Sher
Jaun Eliya
Sher
mohabbato.n me.n dikhaave kii dostii na milaa
agar gale nahii.n miltaa to haath bhii na milaa
Bashir Badr
Sher
gilaa bhii tujh se bahut hai magar mohabbat bhii
vo baat apnii jagah hai ye baat apnii jagah
Basir Sultan Kazmi
Sher
hazaar barq gire laakh aa.ndhiyaa.n uTThe.n
vo phuul khil ke rahe.nge jo khilne vaale hai.n
Sahir Ludhianvi
Sher
Bashir Badr
Sher
badan me.n jaise lahuu taaziyaana ho gayaa hai
use gale se lagaa.e zamaana ho gayaa hai