SEARCH RESULTS
Showing search results for "goraa"
Sher MATCHES FOR "goraa"
Sher
Taban Abdul Hai
Sher
hayaa se sar jhukaa lenaa adaa se muskuraa denaa
hasiino.n ko bhii kitnaa sahl hai bijlii giraa denaa
Akbar Allahabadi
Sher
aa.e to yuu.n ki jaise hamesha the mehrbaan
bhuule to yuu.n ki goyaa kabhii aashnaa na the
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Dhuu.nDtaa phirtaa huu.n mai.n 'iqbaal' apne aap ko
aap hii goyaa musaafir aap hii manzil huu.n mai.n
Allama Iqbal
Sher
itnii pii jaa.e ki miT jaa.e mai.n aur tuu kii tamiiz
yaanii ye hosh kii diivaar giraa dii jaa.e
Farhat Shahzad
Sher
Parveen Shakir
Sher
yahaa.n kisii ko ko.ii raasta nahii.n detaa
mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo
Nida Fazli
Sher
jaate hu.e kahte ho qayaamat ko mile.nge
kyaa KHuub qayaamat kaa hai goyaa ko.ii din aur
Mirza Ghalib
Sher
mai pii ke jo girtaa hai to lete hai.n use thaam
nazro.n se giraa jo use phir kis ne sambhaalaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
mu.D ke dekhaa to hame.n chho.D ke jaatii thii hayaat
ham ne jaanaa thaa ko.ii bojh giraa hai sar se
Zahida Zaidi
Sher
goyaa tumhaarii yaad hii meraa ilaaj hai
hotaa hai pahro.n zikr tumhaaraa tabiib se
Agha Hashr Kashmiri
Sher
mai.n zaKHm khaa ke giraa thaa ki thaam us ne liyaa
mu.aaf kar ke mujhe intiqaam us ne liyaa