SEARCH RESULTS
Showing search results for "gosha-e-KHalvat"
Sher MATCHES FOR "gosha-e-KHalvat"
Sher
is adab-gaah kuu.n tuu.n masjid-e-jaame mat buujh
shaiKH be-baak na jaa gosha-e-mai-KHaane me.n
Siraj Aurangabadi
Sher
gosha-e-dil kii KHamoshii kaa tamannaa.ii mai.n
aur ha.ngaame uThaa laayaa hai baazaar se tuu
Shahzad Ahmad
Sher
Allama Iqbal
Sher
ka.aba o dair jidhar dekhaa udhar kasrat hai
aah kyaa jaane kidhar gosha-e-tanhaa.ii hai
Raza Azimabadi
Sher
Meer Mohammadi Bedar
Sher
gar ho sharaab o KHalvat o mahbuub-e-KHuub-ruu
zaahid qasam hai tujh ko jo tuu ho to kyaa kare
Mohammad Rafi Sauda
Sher
tuu hai aur aish hai aur anjuman-aaraa.ii hai
mai.n huu.n aur ranj hai aur gosha-e-tanhaa.ii hai
Wahshat Kalkattavi
Sher
jo hauslo.n se samundar kha.ngaal Daalegaa
yaqii.n hai gauhar-e-maqsad zaruur paa legaa
Kavish Kamal
Sher
phuu.nkaa hai kis ne gosh-e-mohabbat me.n ai KHudaa
afsuun-e-intizaar tamannaa kahe.n jise
Mirza Ghalib
Sher
ko.ii bhii dil me.n zaraa jam ke KHaak u.Daataa to
hazaar gauhar-e-naayaab dekh saktaa thaa
Idris Babar
Sher
saKHt vahshat sii barastii hai shab-o-roz yahaa.n
ab to GauGaa-e-sagaa.n tak me.n asar ko.ii nahii.n
Jafar Askari
Sher
Bayan Meeruthi
Sher
parda-e-gosh-e-asiiraa.n na hu.ii ik shab-e-garm
paa.nv kis murde kaa yaa-rab mirii zanjiir me.n thaa