SEARCH RESULTS
Showing search results for "gota"
Sher MATCHES FOR "gota"
Sher
mai.n ne junuu.n se kii jo 'asad' iltimaas-e-ra.ng
KHuun-e-jigar me.n ek hii Gota diyaa mujhe
Mirza Ghalib
Sher
yuu.n dil hai sar-ba-sajdaa kisii ke huzuur me.n
jaise ki Gota-zan ho ko.ii bahr-e-nuur me.n
Ameen Hazin
Sher
Bayan Meeruthi
Sher
aa.e to yuu.n ki jaise hamesha the mehrbaan
bhuule to yuu.n ki goyaa kabhii aashnaa na the
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Dhuu.nDtaa phirtaa huu.n mai.n 'iqbaal' apne aap ko
aap hii goyaa musaafir aap hii manzil huu.n mai.n
Allama Iqbal
Sher
kis ne bhiige hu.e baalo.n se ye jhaTkaa paanii
jhuum ke aa.ii ghaTaa TuuT ke barsaa paanii
Arzoo Lakhnavi
Sher
jaate hu.e kahte ho qayaamat ko mile.nge
kyaa KHuub qayaamat kaa hai goyaa ko.ii din aur
Mirza Ghalib
Sher
goyaa tumhaarii yaad hii meraa ilaaj hai
hotaa hai pahro.n zikr tumhaaraa tabiib se
Agha Hashr Kashmiri
Sher
zabt kartaa huu.n to ghuTtaa hai qafas me.n miraa dam
aah kartaa huu.n to sayyaad KHafaa hotaa hai
Qamar Jalalvi
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
safar ke baa'd bhii mujh ko safar me.n rahnaa hai
nazar se girnaa bhii goyaa KHabar me.n rahnaa hai
Aadil Raza Mansoori
Sher
kahte nahii.n hai.n haal kisii raazdaa.n se ham
vaaqif hu.e hai.n jab se fareb-e-jahaa.n se ham
Geeta Thakur Raushni
Sher
kisii maashuuq kaa aashiq se KHafaa ho jaanaa
ruuh kaa jism se goyaa hai judaa ho jaanaa
Ahsan Marahravi
Sher
yuu.n churaa.ii.n us ne aa.nkhe.n saadgii to dekhiye
bazm me.n goyaa mirii jaanib ishaaraa kar diyaa
Fani Badayuni
Sher
surKHii shafaq kii zard ho gaalo.n ke saamne
paanii bhare ghaTaa tire baalo.n ke saamne