SEARCH RESULTS
Showing search results for "guddaa"
Sher MATCHES FOR "guddaa"
Sher
zabt kartaa huu.n to ghuTtaa hai qafas me.n miraa dam
aah kartaa huu.n to sayyaad KHafaa hotaa hai
Qamar Jalalvi
Sher
Vilas Pandit Musafir
Sher
haDDiyaa.n baap kii guude se hu.ii hai.n KHaalii
kam se kam ab to ye beTe bhii kamaane lag jaa.e.n
Raoof Khair
Sher
mai se Garaz nashaat hai kis ruu-siyaah ko
ik-guuna be-KHudii mujhe din raat chaahiye
Mirza Ghalib
Sher
gudaaz-e-ishq nahii.n kam jo mai.n javaa.n na rahaa
vahii hai aag magar aag me.n dhu.aa.n na rahaa
Jigar Moradabadi
Sher
Gussa qaatil kaa na ba.Dhtaa hai na kam hotaa hai
ek sar hai ki vo har roz qalam hotaa hai
Manzar Lakhnavi
Sher
kholaa darvaaza samajh kar mujh ko Gair
khaa ga.e dhokaa mirii aavaaz se
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
jitne gadaa-navaaz the kab ke guzar chuke
ab kyuu.n bichhaa.e baiThe hai.n ham boriyaa na puuchh
Josh Malihabadi
Sher
ye jo duniyaa hai ise itnii ijaazat kab hai
ham pe apnii hii kisii baat kaa Gussa utraa
Abhishek Shukla
Sher
gayaa thaa maa.ngne KHushbuu mai.n phuul se lekin
phaTe libaas me.n vo bhii gadaa lagaa mujh ko
Aanis Moin
Sher
ai soz-e-jaa.n-gudaaz abhii mai.n javaan huu.n
ai dard-e-laa-ilaaj ye umr-e-shabaab hai
Akhtar Ansari
Sher
Bhartendu Harishchandra
Sher
kisii buzdil kii suurat ghar se ye baahar nikaltaa hai
miraa Gussa kisii kamzor ke uupar nikaltaa hai
Azhar Nawaz
Sher
phaa.D kar KHat us ne qaasid se kahaa
ko.ii paiGaam-e-zabaanii aur hai