aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "guddaa"
aa.o gharau.ndaa phir se banaa.e.ngu.Diyaa guDDaa is me.n biThaa.e.n
munnii bolii pyaarii aashaakitnii bholii merii gu.Diyaaachchhaa hai teraa bhii guDDaaho jaa.e dono.n kaa rishtaaashaa bolii gunjaa.ish hailekin merii farmaa.ish haihaathii luu.ngii gho.De luu.ngiimai.n kap.De sau jo.De luu.ngiiT.V coolar aur ik motorsone aur chaa.ndii ke zevardene ho.nge moTe paisemilte hai.n seTho.n ko jaisemehmaano.n kii KHaatir achchhiimaano jab ye baat hai pakkiimunnii kaa to jii ghabraayaaaa.nsuu Tapke sar chakraayaaphir vo bolii jaa.o jaa.oDuubegii kaaGaz kii naavlaalach kaa phal jis ne khaayaaroyaa aaKHir vo pachhtaayaaaashaa bolii tum ho paagalnaahaq hii hotii ho be-kalbaate.n hai.n ye bahkii bahkiimere dil me.n laalach chhii-chhiimai.n ne tum ko yuu.nhii chhe.Daakyuu.n Duube ulfat kaa be.Daaterii gu.Diyaa merii gu.Diyaameraa guDDaa teraa guDDaapaise kii kaisii barbaadiishaadii hogii siidhii-saadiilaa.o jaldii sharbat laa.ojaa.o uchhlo naacho gaa.o
jii bhar kar eid manaae.ngejii bhar kar eid manaae.ngeham KHuub miThaa.ii khaa.e.ngeham DaT kar shiir u.Daa.e.ngeachchhe se kap.De pahne.ngeabbaa se eidii paa.e.ngejii bhar kar eid manaae.ngejii bhar kar eid manaae.ngegu.Diyaa guDDaa Dolaa gaa.DiichimTaa phu.nknii ha.nDiyaa Do.iipyaalaa chamcha chuulhaa chakkiiye sab chiize.n ma.ngvaa.e.ngejii bhar kar eid manaae.ngejii bhar kar eid manaae.ngebaajii mahmuuda aa.e.ngiiraziya safiya ko laa.e.ngesarvat rif.at 'najma' zohrain sab ko bulvaa.e.ngiijii bhar kar eid manaae.ngejii bhar kar eid manaae.ngeham khele.nge ham khaa.e.ngeham din bhar jii bahlaa.e.ngeham uchhle.nge ham kuude.nge'nayyar' ke gaane gaa.e.ngejii bhar kar eid manaae.ngejii bhar kar eid manaae.nge
jamiila shakiila kii thii ik saheliisahelii bhii ik umr kii saath kheliibahut hii thaa iKHlaas aur pyaar un me.nhu.ii thii na jhuuTo.n bhii takraar un me.nthii yuu.n to har ik khel se un ko raGbatmagar sab se ba.Dh kar thii gu.Diyo.n kii chaahatjamiila kii gu.Diyaa thii chiinii kii muuratshakiila kaa guDDaa bhii thaa KHuubsuuratshakiila ne sochaa ki shaadii rachaae.njamiila sahelii ko samdhan banaa.e.nshakiila ba.De chaav se chal ke aa.iivo guDDe kii ma.ngnii kaa paiGaam laa.iika.ii la.Dkiyaa.n aur bhii saath aa.ii.njamiila ke ghar aa ke baate.n banaa.ii.nidhar kii udhar kii hu.ii.n KHuub baate.nye ma.ngnii kii baate.n rahii.n chand raate.nye baat aur vo baat aur kabhii haa.n kabhii naa.nka.ii din rahii.n b shakiila pareshaa.npar aaKHir vo aa hii ga.ii nek saa.atna baaqii rahii ko.ii jhag.De kii suuratjamiila ne manzuur kar lii ye shaadiiKHabar saare bachcho.n ko is kii sunaa diiijaazat unho.n ne ba.Do.n se bhii le liiphir achchhii sii taariiKH shaadii kii tai kiiqariib aa.e shaadii kii taqriib ke dinto kaaTe ye din saare bachcho.n ne gin ginvo shaadii kii taariiKH jis roz aa.iimasarrat ne duniyaa me.n naubat bajaa.iishakiila ne guDDe ko duulhaa banaayaause ek ba.Dhiyaa saa jo.Daa pahnaayaavo kurtaa vo achkan vo pag.Dii vo paTkaavo resham kii shalvaar vaslii kaa juutaavo munnaa saa ruumaal moze Tasar kejhamaktii kalaa us ke salme sitaareja.Daav a.nguuThii vo motii kii maalaavo ra.ngiin jaama vo phuulo.n kaa sahraabiThaa us ko gho.De pe vo saath laa.iibaraat us ne guDDe kii apnii sajaa.iichale saath ban ban ke bachche baraatiichalii paarTii ek gaatii bajaatiita.Daata.D vo taasho.n kii baajo.n kii Te.n-Te.nmajiire kii Tan Tan nafiirii kii pe.n-pe.nvo logo.n kaa chalnaa paTaaKHo.n kaa chhuTnaahavaa me.n anaaro.n ke phuulo.n kaa luTnaaisii ThaaTh se chal ke baaraat aa.iidulhan kii taraf se hu.ii peshvaa.iijamiila ne sab kaa kyaa KHair muqaddammile ho ke baaham vo sab shaad-o-KHurramjahaa.n farsh ik chaa.ndnii kaa bichhaa thaathii masnad na.ii gaav takiya nayaa thaavahaa.n mehmaano.n ko locker biThaayaadiye paan aur sab ko sharbat pilaayaabulaa.e ga.e shahr se ek qaaziidulhan aur duulhaa hu.e dono.n raaziizaraa der me.n ho ga.ii un kii shaadiisabhii ahl-e-mahfil ne dil se du.aa diichuvaare luTe phir baTii kuchh miThaa.iimiThaa.ii ye sab ne maze le ke khaa.iihu.e shaad mehmaan chhoTe ba.De kulmubaarak salaamat kaa pas mach gayaa Gulhu.aa vaqt gu.Diyaa kii ruKHsat kaa jis damjamiila ke chehre pe thaa Gam kaa aalamshakiila ne jhaT paalkii ik ma.ngaa.iibiThaa us me.n gu.Diyaa ko ghar apne laa.iihu.ii KHuub shohrat hu.aa KHuub KHarcharahaa shahr me.n muddato.n is kaa charchaaGaraz byaah guDDe kaa gu.Diyaa kaa jaisaahu.aa ye hu.aa hogaa 'nayyar' na aisaa
sunday ke din ham sab khele.nlutf zaraa chhuTTii kaa le le.nDolii laa.o gho.Daa laa.oguDDaa laa.o gu.Diyaa laa.oin dono.n kii kar de.n shaadiiaa jaa.e.n baaraatii haadiikuchh daavat-naame chhapvaa lokuchh mehmaano.n ko bulvaa loguDDe kaa sahraa le aa.ogu.Diye kaa gajraa le aa.oguDDe kaa saafa bhii laanaagu.Diye kaa lah.ngaa bhii laanaahaldii paisegii nazraanameh.ndii piisegii farzaanasaaraa ghar aa.ngan sajvaa dodar par shahnaa.ii bajvaa dokachchii biryaanii pakvaa loshaahii Tuk.De bhii banvaa losharbat aur kaafii bhii rakhnaamisrii aur taffy bhii rakhnaaguDDaa gu.Diyaa jab hai.n raaziinajmii ban jaa.egaa qaaziidhuum-dhaam se hogii shaadiiyaad karegii kyaa shahzaadiihindostaanii saaz baje.nggegiit 'faraaG' uncle likh de.nge
jhalak to dekho hamaare ghar kii yahaa.n hai.n naanii yahaa.n hai.n taa.iihamaare maa.n baap aur chachaa hai.n yahaa.n hai.n bahne.n yahaa.n hai.n bhaa.iihamaaraa ghar hai hasiin gulshan KHushii kii kaliyaa.n khilii hu.ii hai.nvafaa kii KHushbuu basii hu.ii hai hu.ii na hogii yahaa.n la.Daa.iihamaare abbuu kii dekho azmat har ek kurtaa hai in kii izzatnazar me.n in kii hai.n sab baraabar inhii.n se miltii hai rahnumaa.iikamaa rahe hai.n halaal rozii banaa diyaa hai hame.n namaaziiinhii.n se ghar me.n hai KHair-o-barkat kisii kii karte nahii.n buraa.iihamaarii ammii hai.n nek siirat hame.n milii hai inhii.n se raahatsadaa kitchen me.n hai kaam un kaa pakaa rahii hai.n chikan frylabo.n pe un ke sadaa tabassum zabaan un kii hai KHuub shiirii.nnahii.n hai kaamo.n se un ko fursat kabhii safaa.ii kabhii silaa.iihame.n hai un se dilii mohabbat unhii.n ke qadmo.n tale hai jannatba.Dii mohabbat se parvarish kii hai un kii fitrat me.n paarsaa.iiajiib shai hai.n chachaa hamaare nahii.n kisii kii samajh me.n aa.eliye hai.n pyaale me.n murG chhole usii me.n Daalii hai ras-malaa.iijo muuD ho to sunaa.e.n naama Thumak Thumak kar bajaa.e.n tablaga.e vo ik roz chhat ke uupar vahaa.n chachaa ne pata.ng u.Daa.iimadad vo ammii kii kar rahe hai.n tave pe chamcha chalaa rahe hai.nsavere uTh kar chachaa hamaare galii kii karte hai.n KHud safaa.iivo sair karne ga.e hai.n baahar pahan ke banyaan aur la.ngoTiiba.Dii sii pag.Dii hai sar ke uupar laTak rahii hai gale se tieba.Dii hai.n sab se hamaarii naanii sunaatii hai.n vo hame.n kahaaniizabaa.n pe zikr-e-KHudaa hai jaarii Thikaanaa un kaa hai chaarpaa.iiDakaartii hai.n hamaarii taa.ii hamesha piitii hai.n vo davaa.iiba.Daa saa takiya hai sar ke niiche badan ke uupar hai ik razaa.iiba.Dii bahan kaa hai naam raziya vo novelo.n kii bahut hai rasiyaakashiidakaarii me.n hai mahaarat maze se khaatii hai vo miThaa.iibahan surayyaa ne laayaa guDDaa bahan ruqayya ne laa.ii gu.Diyaasaheliyo.n ko bulaa ke shaadii KHushii se daalaan me.n rachaa.iihamaaraa anvar hai das baras kaa musavvirii se use hai raGbatbanaa ke tasviir jab dikhaa.ii to bhaa.ii bahno.n se daad paa.iihai sab se chhoTaa miyaa.n munavvar magar hai ta.aliim se mohabbatdavaat le kar vo likh rahaa thaa giraa dii kap.Do.n pe raushnaa.iizaraa saa apnaa bhii haal kah duu.n mai.n ek collage me.n pa.Dh rahaa huu.nkitaab se merii dostii hai kabhii na chho.Duu.ngaa mai.n pa.Dhaa.ii
maariya saahibaa kii ik gu.Diyaaaur suubii kaa ek guDDaa thaaaur dono.n me.n chaa.e par kal shaamzikr rishte kaa aise hotaa thaasuubii mu.nh bigaa.D kar boliihuu.nh na achchhii hai.n aadate.n us kiina mujhe ko.ii KHaas lagtii haitum to kahtii thii.n lagtii gu.Diyaa ha.nsmukh haiye to bilkul udaas lagtii haikab se baalo.n me.n kii nahii.n ka.nghiichuTiyaa dekho to ghaas lagtii haibaat karne kaa is ko Dha.ng nahii.n haiye kahii.n m a paas lagtii haichaa.e guDDe ke coat par Dhaa diiek dam bad-havaas lagtii hainaa.n jii gu.Diyaa nahii.n hai ye kam-sinye to guDDe kii saas lagtii haiai zaraa kok-vok ma.ngvaa.omere guDDe ko pyaas lagtii haimaariya saahibaa kii gu.Diyaa kaakhii.nchaa suubii ne aisaa jab naqshaun ko aataa bhalaa na kyo.n Gussapar ba.De zabt se ye farmaayaaai bahan ye KHushii kaa saudaa haiho ga.ii baat saaf achchhaa haimerii gu.Diyaa to KHair jaisii hailaaT saahab ye KHud kahaa.n kaa haibhaaluu jaisii to is kii suurat haitum to kahtii thii.n bholaa-bhaalaa haimo.nchhe.n dekho to kitnii moTii hai.nsar bhii piichhe se tho.Daa ganjaa haikahii.n afsar to KHair kyaa hogaafifth me.n fail ho ke bhaagaa haisab pataa chal gayaa mujhe bhii abkisii hotel kaa ye to bairaa haiis kii tanKHvaah bas zaraa sii haitip ke milne hii par guzaaraa haihaa.n ise kok bhii ma.ngaa de.ngedekh lo kis qadar na-diida haiis nikhaTTuu ko gu.Diyaa dene seku.e.n me.n phe.nk denaa achchhaa hai
june ne juu.nhii jalva dikhaayaadil ne KHushii kaa naGma gaayaaaayaa aam kaa mausam aayaaham ne garmii kii chhuTTii me.nmiiThe aam kaa lutf uThaayaaaayaa aam kaa mausam aayaashiddat jab garmii kii ba.Dhii tomere rab ne me.nh barsaayaaaayaa aam kaa mausam aayaapahle is ko freeze me.n rakkhaabatn me.n is ke baad biThaayaaaayaa aam kaa mausam aayaakuchh bhii na chho.Daa juz chhilko.n keguThlii chuusii guudaa khaayaaaayaa aam kaa mausam aayaachau.nse kaa ras chuusaa ham nesindh.Dii kaa phir shake banaayaaaayaa aam kaa mausam aayaaKHud vo kitnaa miiThaa hogaajis ne shiirii.n aam banaayaaaayaa aam kaa mausam aayaa
mai.n laayaa huu.n pyaare tohfedekho kitne saare tohfegu.Diyaa kaisii aalii laayaaguDDaa daa.Dhii vaalaa laayaajis ke paas ho.n paise le lojii chaahe to vaise le lo
panda bhaaluu guDDaa bhii haichaabii vaalaa buDDhaa bhii hai
gu.Diyaa hamaarii javaan haiab us kii shaadii kaa dhyaan haiachchhaa saa guDDaa dikhaa.o jiirishta ko.ii achchhaa laa.o jiigu.Diyaa hai aThaarah saal kiimaalik hai husn-o-jamaal kiita.aliim bhii us ne paa.ii haiaur mehnatii intihaa.ii haiguDDaa ho ikkiis saal kaaKHush-KHulq achchhe KHayaal kaagoraa ho yaa saa.nvlaa ho vokyaa dekhnaa us ke rang kokartaa na ho vo nasha ko.iikartaa ho dhanda yaa naukriipaa.nv pe apne kha.Daa ho voachchhaa sambhaale jo biivii koho fikr us ko samaaj kiiaur apne bhii kaam kaaj kiilaalach kabhii na ho jahez kiiaisaa ko.ii guDDaa laa.o jiigu.Diyaa kaa haq jo adaa kareapne baraabar kaa darja dehar baat agar tum ne maan liiThahraa lo taariiKH aqd kii
ise vahii jaantaa haijis ne ek bachcha janaa hoyaa use janm dene sepahle bahaa diyaa hodono.n dukh ek hii hai.njaise tumhe.ngarm garm jalte hu.e lohe sedaaGaa jaa rahaa hoyaa tumhaare jism koguudaa jaa rahaa hoek sire se duusre sire takandhere aur sannaaTe me.ndarvaaza ho na ko.ii shigaafki aavaaz baahar jaa sakebas jaiseek kund chhurii jo tumhaare hii haatho.ntumhaarii gardan kaaT rahii hoaur is lazzat-aamez KHud-aziyyatii me.ntum KHud ko halkaan hote hu.edekh rahe holamha-ba-lamhaek vajuud koduusre se baahar dhakelnaabaahar aaluudgiyo.n ke Dher pardhiire dhiireko.ii naam dene ke liye
guDDe miyaa.n ne baa.ndhaa hai sahraadekho to kaisaa achchhaa hai sahraagu.Diyaa dulhan hai duulhaa hai guDDaaduulhaa dulhan kaa pyaaraa hai sahraaphuulo.n kii KHushbuu phailii hu.ii haimahfil me.n saarii mahkaa hai sahraaphuulo.n kii la.Diyaa.n phuulo.n kii jha.Diyaa.nKHushiyo.n kii gha.Diyaa.n laayaa hai sahraachaa.nd aur suuraj is par fidaa hai.ntaaro.n ko dil se bhaayaa hai sahraabachche bhii KHush hai.n KHush hai.n ba.De bhiiKHushiyo.n kaa shaayad tohfa hai sahraaguDDe miyaa.n kii shaadii rachii hai'nayyar' bhii likh kar laayaa hai sahraa
is ke kone me.n ik gu.Diyaa sundar ruup sajaa.epyaaraa albelaa ik guDDaa khiir jalebii khaa.eDhol baa.nsurii biin pipahrii baajaa band bajaa.e
bataKH kaa ik bachcha pak.Deaa.ngan se ik billii bhaagiibillii piichhe kuttaa dau.Daachunnuu munnuu guDDuu pappuukalluu salluu saare bachcheballaa le kar piichhe dau.Desaath me.n dau.De.n shanno appiiguDDaa guDDii le kar apnenannhii munnii chunnii dau.Diiabbaa dau.De ammii dau.Dii.ndau.De Dabbuu chachchaa bhiiachhan bhaa.ii kallan bhaa.iichuTTan bhaa.ii mannan bhaa.iipiichhe piichhe vo bhii dau.Debillii ruk kar Gurraa.iisher kii KHaala lahraa.iiaa.nkhe.n apnii chamkaa.ii.nniilii tope.n damkaa.ii.nhimmat sab kii tharraa.iisuurat ik ik murjhaa.iikuttaa dum dabaa kar bhaagaabillii se ghabraa kar bhaagaadekh ye manzar sab ghabraa.ebattaKH ko ab kaun bachaa.e
ye chiinii kii gu.Diyaa hai yaa zaalim bis kii pu.Diyaaye bad-suurat guDDaa hai yaa europe des kaa baunaaham bhii ek khilaunaa yaaro tum bhii ek khilaunaatank ko dekho re.ng rahaa hai kaisaa faT faT faT faTuu.nT ko dekho dau.D rahaa hai kaisaa aunaa paunaaham bhii ek khilaunaa yaaro tum bhii ek khilaunaamurGaa kuk.Duu.nkuu.n kartaa hai murGii kaT kaT kaT kaTchor bhago.Daa bhaag rahaa hai le kar ek bhagonaaham bhii ek khilaunaa yaaro tum bhii ek khilaunaachhunne bhayyaa soch rahe hai.n kaise haath dikhaa.e.nmu.nh me.n paanii haatho.n me.n aaluu kii chaaT kaa donaaham bhii ek khilaunaa yaaro tum bhii ek khilaunaaghu.nghaT us kaa chhe foot lambaa choTii das foot lambiibiich mahalle aaj hu.aa kaanii gu.Diyaa kaa gaunaaham bhii ek khilaunaa yaaro tum bhii ek khilaunaa
bhuure rang ke kutto.n kii ha.Dbo.ng nefazaa par vahshat taarii kar dii haiin kii bhuuk itnii shadiid haiki vosirf maKHsuus qism kii haDDiyo.n kaa guudaasuu.ngh suu.ngh kar talaash rahe hai.nab to kaale kutte bhiibarso.n kii nii.nd se jaag uThe hai.naur vo bhiiin bhuure kutto.n kii talaash ke madad-gaar ban rahe hai.nmaahaul par vahshat kii dhund chhaa.ii hu.ii haiye vahshat itnii KHaufnaak haikija.ngalii darinde bhii apnii KHaslat bhuul ga.e hai.naur is dhund me.nsafed KHargoshapnii baqaa kii KHaatir bhuure aur kaale kutto.n kii ha.Dbo.ngkii vahshat seitne hiraasaa.n ho rahe hai.nkikahii.n kahii.n par vo apnii khaal kii rangat takchhupaane ke liye majbuur ho rahe hai.nsafed KHargosho.n kaa ek aur bhii mas.ala hai kivo kabhii kabhii apnii hii khaal koapne hii daa.nto.n se kutarne me.n lag jaate hai.njis kii vaj.h seun kii shanaaKHt kii pahchaankutto.n ke liyeaasaan ho jaatii hailekin agar unhe.napnii yaksaa.n shanaaKHt kaaehsaas ho jaa.etoye bhuure aur kaale kuttephir apnii bhuuk ko bhuul karapnii mashkuuk shanaaKHt ko bachaaneke liye pareshaa.n ho jaa.e.ngelekinkyaa safed KHargosh kabhiiapnii shanaaKHt kaa miinaar ta.amiir kar paa.e.nge
kabhii kabhii mire dil me.n KHayaal aataa haiki zindagii tirii zulfo.n kii narm chhaa.nv me.nguzarne paatii to shaadaab ho bhii saktii thiiye tiirgii jo mirii ziist kaa muqaddar haitirii nazar kii shu.aa.o.n me.n kho bhii saktii thiiajab na thaa ki mai.n begaana-e-alam ho kartire jamaal kii ra.anaa.iyo.n me.n kho rahtaatiraa gudaaz-badan terii niim-baaz aa.nkhe.ninhii hasiin fasaano.n me.n mahv ho rahtaapukaartii.n mujhe jab talKHiyaa.n zamaane kiitire labo.n se halaavat ke ghuu.nT pii letaahayaat chiiKHtii phirtii barahna sar aur mai.nghanerii zulfo.n ke saa.e me.n chhup ke jii letaamagar ye ho na sakaa aur ab ye aalam haiki tuu nahii.n tiraa Gam terii justujuu bhii nahii.nguzar rahii hai kuchh is tarah zindagii jaiseise kisii ke sahaare kii aarzuu bhii nahii.nzamaane bhar ke dukho.n ko lagaa chukaa huu.n galeguzar rahaa huu.n kuchh an-jaanii rahguzaaro.n semuhiib saa.e mirii samt ba.Dhte aate hai.nhayaat o maut ke pur-haul KHaarzaaro.n sena ko.ii jaada-e-manzil na raushnii kaa suraaGbhaTak rahii hai KHalaa.o.n me.n zindagii meriiinhii KHalaa.o.n me.n rah jaa.uu.ngaa kabhii kho karmai.n jaantaa huu.n mirii ham-nafas magar yuu.nhiikabhii kabhii mire dil me.n KHayaal aataa hai
gorii dekh ke aage ba.Dhnaa sab kaa jhuuTaa sachchaa 'huu'Duubne vaalii Duub ga.ii vo gha.Daa thaa jis kaa kachchaa 'huu'
hai shaayad dil miraa be-zaKHm aur lab par nahii.n chhaalemire siine me.n kab sozinda-tar daaGo.n ke hai.n thaalemagar dozaKH pighal jaa.e jo mere saa.ns apnaa letum apnii maam ke behad muraadii minnato.n vaalemire kuchh bhii nahii.n kuchh bhii nahii.n kuchh bhii nahii.n baalemagar pahle kabhii tum se miraa kuchh silsila to thaagumaa.n me.n mere shaayad ik ko.ii Guncha khilaa to thaavo merii jaavedaana be-du.ii kaa ik sila to thaaso us ko ek abbuu naam kaa gho.Daa milaa to thaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books