SEARCH RESULTS
Showing search results for "gul-haa-e-husn-e-yaar"
Sher MATCHES FOR "gul-haa-e-husn-e-yaar"
Sher
Gam-e-hayaat bhii aaGosh-e-husn-e-yaar me.n hai
ye vo KHizaa.n hai jo Duubii hu.ii bahaar me.n hai
Shakeel Badayuni
Sher
aa.nkhe.n KHudaa ne dii hai.n to dekhe.nge husn-e-yaar
kab tak naqaab ruKH se uThaa.ii na jaa.egii
Jaleel Manikpuri
Sher
shabaab ho ki na ho husn-e-yaar baaqii hai
yahaa.n ko.ii bhii ho mausam bahaar baaqii hai
Jaleel Manikpuri
Sher
hu.aa dhuup me.n bhii na kam husn-e-yaar
kanhayyaa banaa vo jo sa.nvlaa gayaa
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
Azhar Bakhsh Azhar
Sher
rang-e-shikasta sub.h-e-bahaar-e-nazaara hai
ye vaqt hai shaguftan-e-gul-haa-e-naaz kaa
Mirza Ghalib
Sher
jalva-e-yaar dekh kar tuur pe Gash hu.e kaliim
aql-o-KHirad kaa kaam kyaa mahfil-e-husn-o-naaz me.n
Anwar Saharanpuri
Sher
bulbul ke kaarobaar pe hai.n KHanda-haa-e-gul
kahte hai.n jis ko ishq KHalal hai dimaaG kaa
Mirza Ghalib
Sher
ek hii phuul thaa bas gul-kada-e-husn me.n tuu
chun liyaa aa.nkh me.n apnii tire shaidaa.ii ne
Abdul Hai Aarfi
Sher
suraahii-e-mai-e-naab-o-safiina-haa-e-Gazal
ye harf-e-husn-e-muqaddar likhaa hai kis ke liye
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
Sher
yaa.n raKHna-haa-e-siina kuduurat se hai.n phaTe
vaa.n ho ga.e hai.n rauzan-e-diivaar-e-yaar band
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ek hii anjaam hai ai dost husn o ishq kaa
sham.a bhii bujhtii hai parvaano.n ke jal jaane ke ba.ad
Akhtar Muslimi
Sher
muddat se gum hu.aa dil-e-begaana ai 'siraaj'
shaayad ki jaa lagaa hai kisii aashnaa ke haath
Siraj Aurangabadi
Sher
kis kaa kuucha hai aa gayaa huu.n kahaa.n
yaa.n to kuchh nii.nd aa.ii jaatii hai
Manzar Lakhnavi
Sher
bahut hasiin hai doshiizgii-e-husn magar
ab aa ga.e ho to aa.o tumhe.n KHaraab kare.n