SEARCH RESULTS
Showing search results for "gumaan-e-bad"
Sher MATCHES FOR "gumaan-e-bad"
Sher
bad-qismato.n ko gar ho mayassar shab-e-visaal
suuraj Guruub hote hii zaahir ho nuur-e-sub.h
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
kabhii na jaa.egaa aashiq se dekh-bhaal kaa rog
pilaa.o laakh use bad-maza davaa-e-firaaq
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
mar chukaa mai.n to nahii.n is se mujhe kuchh haasil
barse gir paanii kii jaa aab-e-baqaa mere ba.ad
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
ik lafz yaad thaa mujhe tark-e-vafaa magar
bhuulaa hu.aa huu.n Thokare.n khaane ke baa'd bhii
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Sher
terii suurat par gumaan-e-dasht-o-sahraa haa.e haa.e
tere qadmo.n me.n bahaare.n zindagii ai zindagii
Jaleel Hashmi
Sher
ye zor-e-barq-o-baad ye tuufaan al-amaa.n
mahruum ho na jaa.e.n kahii.n aashiyaa.n se ham
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
naqqaash-e-azal ne to sar-e-kaaGaz-e-baad aah
kyaa KHaak likhaa umr kii ta.amiir kaa naqsha
Waliullah Muhib
Sher
shikva sun kar jo mizaaj-e-but-e-bad-KHuu badlaa
ham ne bhii saath hii taqriir kaa pahluu badlaa
Bekhud Badayuni
Sher
ai junuu.n baa.is-e-bad-haalii-e-sahraa kyaa hai
ye miraa ghar to nahii.n thaa ki jo viiraa.n hotaa
Natiq Gulavthi
Sher
pech de de lafz o ma.anii ko banaate hai.n kulaft
aur vo phir us pe rakhte hai.n gumaan-e-reKHta
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
jin kaa yaqiin raah-e-sukuu.n kii asaas hai
vo bhii gumaan-e-dasht me.n mujh ko pha.nse lage
Hanif Tarin
Sher
shaiKH tuu nek-o-bad-e-duKHtar-e-raz kyaa jaane
vo bichaarii to tire paas na aa.ii na ga.ii
Meer Hasan
Sher
duniyaa ki nek o bad se mujhe kuchh KHabar nahii.n
itnaa nahii.n jahaa.n mai.n ko.ii be-KHabar ki ham