SEARCH RESULTS
Showing search results for "ha.ngaama-e-raftaar"
Sher MATCHES FOR "ha.ngaama-e-raftaar"
Sher
chaltii to hai par shoKHii-e-raftaar kahaa.n hai
talvaar me.n paazeb kii jhankaar kahaa.n hai
Kalb-e-husain Nadir
Sher
allaah allaah ye ha.ngaama-e-paikaar-e-hayaat
ab vo aavaaz bhii dete hai.n to sunte nahii.n ham
Syed Nawab Afsar Lakhnavi
Sher
yak-qalam kaaGaz-e-aatish-zada hai safha-e-dasht
naqsh-e-paa me.n hai tab-e-garmii-e-raftaar hunuuz
Mirza Ghalib
Sher
ha.ngaama-e-hayaat se lenaa to kuchh nahii.n
haa.n dekhte chalo ki tamaashaa hai raah kaa
Natiq Gulavthi
Sher
ha.ngaama-e-hastii se guzar kyuu.n nahii.n jaate
raste me.n kha.De ho ga.e ghar kyuu.n nahii.n jaate
Aslam Farrukhi
Sher
Wahshat Kalkattavi
Sher
KHud-ba-KHud apnaa janaaza hai ravaa.n
ham ye kis ke Kushta-e-raftaar hai.n
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
us ke kuuche me.n sadaa mujh ko nazar aataa hai
bast-e-zulf ko.ii rafta-e-raftaar ko.ii
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Goya Faqir Mohammad
Sher
na jaane kaisii mahruumii pas-e-raftaar chaltii hai
hamesha mere aage aage ik diivaar chaltii hai
Aziz Nabeel
Sher
kaam aa.egii mizaaj-e-ishq kii aashuftagii
aur kuchh ho yaa na ho ha.ngaama-e-mahfil sahii
Saba Akbarabadi
Sher
kaise ha.ngaama-e-fursat me.n mile hai.n tujh se
ham bhare shahr kii KHalvat me.n mile hai.n tujh se
Saleem Kausar
Sher
Meer Mohammadi Bedar
Sher
us kii pa.Dii na aa.nkh KHat-o-KHaal par tire
kabk-e-darii to rafta-e-raftaar hii rahaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
vo KHalish jis se thaa ha.ngaama-e-hastii barpaa
vaqf-e-betaabii-e-KHaamosh hu.ii jaatii hai
Jigar Moradabadi
Sher
jab bhii fursat milii ha.ngaama-e-duniyaa se mujhe
merii tanhaa.ii ko bas teraa pata yaad aayaa
Aleena Itrat
Sher
ha.ngaama-e-hayaat se jaa.n-bar na ho sakaa
ye dil ajiib dil hai ki patthar na ho sakaa