SEARCH RESULTS
Showing search results for "haa"
Sher MATCHES FOR "haa"
Sher
bulbul ke kaarobaar pe hai.n KHanda-haa-e-gul
kahte hai.n jis ko ishq KHalal hai dimaaG kaa
Mirza Ghalib
Sher
safar hai shart musaafir-navaaz bahutere
hazaar-haa shajar-e-saaya-daar raah me.n hai
Haidar Ali Aatish
Sher
go mai.n rahaa rahiin-e-sitam-haa-e-rozgaar
lekin tire KHayaal se Gaafil nahii.n rahaa
Mirza Ghalib
Sher
Allama Iqbal
Sher
jab zaraa raat hu.ii aur mah o anjum aa.e
baar-haa dil ne ye mahsuus kiyaa tum aa.e
Asad Bhopali
Sher
dil kaa lahuu nigaah se Tapkaa hai baar-haa
ham raah-e-Gam me.n aisii bhii manzil se aa.e hai.n
Ali Jawad Zaidi
Sher
jab talak shiisha rahaa mai.n baar-haa to.Daa gayaa
ban gayaa patthar to sab ne devtaa maanaa mujhe
Shams Deobandi
Sher
saal-haa-saal se KHaamosh the gahre paanii
ab nazar aa.e hai.n aavaaz ke aasaar mujhe
Zafar Iqbal
Sher
mai.n adam se bhii pare huu.n varna Gaafil baar-haa
merii aah-e-aatishii.n se baal-e-anqaa jal gayaa
Mirza Ghalib
Sher
baar-haa yuu.n bhii hu.aa terii mohabbat kii qasam
jaan kar ham ne tujhe KHud se KHafaa rakkhaa hai