SEARCH RESULTS
Showing search results for "haalat-e-haal-e-dil"
Sher MATCHES FOR "haalat-e-haal-e-dil"
Sher
puuchhaa agar kisii ne miraa aa ke haal-e-dil
be-iKHtiyaar aah labo.n se nikal ga.ii
Mirza Raza Barq
Sher
haalat-e-haal se begaana banaa rakkhaa hai
KHud ko maazii kaa nihaa.n-KHaana banaa rakkhaa hai
Abbas Qamar
Sher
sunaa haal-e-dil-e-'majruuh' shab ko
ko.ii hasrat sii hasrat thii bayaa.n me.n
Meer Mehdi Majrooh
Sher
ham itne pareshaa.n the ki haal-e-dil-e-sozaa.n
un ko bhii sunaayaa ki jo Gam-KHvaar nahii.n the
Razi Akhtar Shauq
Sher
is ishq me.n na puuchho haal-e-dil-e-dariida
tum ne sunaa to hogaa vo sher 'mus.hafii' kaa
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sher
sahaafiyo.n ko kahaa.n haal-e-dil sunaa baiThe
ye ek baat ka.ii zaaviyo.n se likkhe.nge
Moin Shadab
Sher
maanuus ho chalaa thaa tasallii se haal-e-dil
phir tuu ne yaad aa ke ba-dastuur kar diyaa