SEARCH RESULTS
Showing search results for "habaab"
Sher MATCHES FOR "habaab"
Sher
ahvaal dekh kar mirii chashm-e-pur-aab kaa
dariyaa se aaj TuuT gayaa dil habaab kaa
Joshish Azimabadi
Sher
Hatim Ali Mehr
Sher
hai mushtamil numuud-e-suvar par vajuud-e-bahar
yaa.n kyaa dharaa hai qatra o mauj-o-habaab me.n
Mirza Ghalib
Sher
bas is qadar hai KHulaasa mirii kahaanii kaa
ki ban ke TuuT gayaa ik habaab paanii kaa
Abdul Hamid Adam
Sher
kisii kii mahram-e-aab-e-ravaa.n vo yaad aa.ii
habaab ke jo baraabar kabhii habaab aayaa
Haidar Ali Aatish
Sher
ne.mat-e-duniyaa kii jin ko chaah hai naadaan hai.n
daaya-e-ayyaam ke pistaa.n habaab-e-shiir hai
Imdad Ali Bahr
Sher
tuu ham-damo.n se judaa rah ki TuuT jaataa hai
habaab ke jo qarii.n duusraa habaab aayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
naazuk hai meraa shiisha-e-dil is qadar ki bas
misl-e-habaab phuuT gayaa gar havaa lagii
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
paanii paanii ho KHajaalat se har ik chashm-e-habaab
jo muqaabil ho mirii ashk bharii aa.nkho.n se
Shad Lakhnavi
Sher
qanaa.at us kii nikaltii hai vaazhguunii me.n
gadaa hai bahr agar kaasa-e-habaab phire
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
nahii.n hai fursat-e-ik-dam pa aah us ko nazar
habaab dekhe hai aa.nkhe.n nikaal ke kaisaa
Shah Naseer
Sher
Mirza Daood Beg
Sher
dam bhar rahe habaab-e-namat kaa.enaat me.n
is zindagii me.n naam nahii.n maah-o-saal kaa