SEARCH RESULTS
Showing search results for "habbazaar"
Sher MATCHES FOR "habbazaar"
Sher
hazaar barq gire laakh aa.ndhiyaa.n uTThe.n
vo phuul khil ke rahe.nge jo khilne vaale hai.n
Sahir Ludhianvi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
hazaar sham.a farozaa.n ho raushnii ke liye
nazar nahii.n to a.ndheraa hai aadmii ke liye
Nushur Wahidi
Sher
hazaar baar jo maa.ngaa karo to kyaa haasil
du.aa vahii hai jo dil se kabhii nikaltii hai
Dagh Dehlvi
Sher
hazaar tarah ke sadme uThaane vaale log
na jaane kyaa hu.aa ik aan me.n bikhar se ga.e
Obaidullah Aleem
Sher
hazaar ruKH tire milne ke hai.n na milne me.n
kise firaaq kahuu.n aur kise visaal kahuu.n
Ravish Siddiqi
Sher
hazaar chehre hai.n maujuud aadmii Gaa.eb
ye kis KHaraabe me.n duniyaa ne laa ke chho.D diyaa
Shahzad Ahmad
Sher
hazaar rang me.n mumkin hai dard kaa iz.haar
tire firaaq me.n marnaa hii kyaa zaruurii hai
Shuja Khaavar
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
hazaar talKH ho.n yaade.n magar vo jab bhii mile
zabaa.n pe achchhe dino.n kaa hii zaa.iqa rakhnaa
Iftikhar Naseem
Sher
mai.n us ke va.ade kaa ab bhii yaqiin kartaa huu.n
hazaar baar jise aazmaa liyaa mai.n ne
Makhmoor Saeedi
Sher
ajiib shai hai tasavvur kii kaar-farmaa.ii
hazaar mahfil-e-ra.ngii.n shariik-e-tanhaa.ii
Payam Fatehpuri
Sher
hazaar kos nigaaho.n se dil kii manzil tak
ko.ii qariib se dekhe to ham ko pahchaane