SEARCH RESULTS
Showing search results for "hadaf-e-khada.ng-e-nigaah"
Sher MATCHES FOR "hadaf-e-khada.ng-e-nigaah"
Sher
Shah Naseer
Sher
S A Mehdi
Sher
shah dil ko mil ga.ii hai phir un kii nigaah se
phir shauq Dhuu.nDhtaa hai dil-o-jaa.n na.e na.e
Syeda Shan-e-Meraj
Sher
kyuu.n na Thahre.n hadaf-e-naavak-e-be-daad ki ham
aap uThaa lete hai.n gar tiir KHataa hotaa hai
Mirza Ghalib
Sher
rusvaa agar na karnaa thaa aalam me.n yuu.n mujhe
aisii nigaah-e-naaz se dekhaa thaa kyuu.n mujhe
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
zaKHm-e-shamshiir-e-nigah haif ki achchhaa na hu.aa
karne ko us kii davaa doctor a.ngrez aayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
mai.n dekhtaa huu.n aap ko hadd-e-nigaah tak
lekin mirii nigaah kaa kyaa e'tibaar hai
Seemab Akbarabadi
Sher
in bijliyo.n ko rahne de ai shoKHi-e-nigaah
shaayad KHabar nahii.n hai tujhe jal gayaa huu.n mai.n
Unknown
Sher
dil o nigaah pe taarii rahe fusuu.n us kaa
tumhaaraa ho ke bhii mumkin hai mai.n rahuu.n us kaa
Akhtar Razaa Saleemi
Sher
had-e-nigaah dekhiye ban.ne ko Gam-gusaar
us ko bhii chup karaa.iye jo ro nahii.n rahaa
Aisha Ayub
Sher
jazb-e-nigaah-e-sho.abada-gar dekhte rahe
duniyaa unhii.n kii thii vo jidhar dekhe rahe
Arzoo Lakhnavi
Sher
kitnaa tanik safaa hai ki paa-e-nigaah kaa
halkaa saa ik Gubaar hai chehre ke rang par
Nazeer Akbarabadi
Sher
har ik jagah tirii barq-e-nigaah dau.D ga.ii
Garaz ye hai ki kisii chiiz ko qaraar na ho
Asghar Gondvi
Sher
dil o nigaah kaa ye faasla bhii kyuu.n rah jaa.e
agar tuu aa.e to mai.n dil ko aa.nkh me.n rakh luu.n
Shahzad Ahmad
Sher
muusaa ke sar pe paa.nv hai ahl-e-nigaah kaa
us kii galii me.n KHaak u.Dii koh-e-tuur kii
Qalaq Merathi
Sher
KHushaa vo daur ki jab markaz-e-nigaah the ham
pa.Daa jo vaqt to ab ko.ii ruu-shanaas nahii.n