SEARCH RESULTS
Showing search results for "hadiya-e-tabriik"
Sher MATCHES FOR "hadiya-e-tabriik"
Sher
KHiraaj maa.ng rahii hai vo shaah-baanu-e-shahr
so ham bhii hadiya-e-dast-e-talab guzaarte hai.n
Irfan Siddiqi
Sher
mai.n tere hadiya-e-furqat pe kaise naazaa.n huu.n
mirii jabii.n pe tiraa zaKHm tak hasiin nahii.n
Akash Arsh
Sher
jaise mumkin ho in ashko.n ko bachaa.o 'taariq'
shaam aa.ii to charaaGo.n kii zaruurat hogii
Tariq Qamar
Sher
qabiila-vaar adaavat kaa silsila 'taariq'
fasaad-e-shahr kii suurat me.n ab bhii chaltaa hai
Shamim Tariq
Sher
sard ho saktaa nahii.n sargarm insaa.n kaa lahuu
haadisaat-e-nau-ba-nau me.n zindagaanii ho to kyaa
Kaleem Ahmadabadi
Sher
ai falak tujh ko qasam hai mirii is ko na bujhaa
ki Gariibo.n ko charaaG-e-shab-e-taariik hai dil
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
aagahii daam-e-shuniidan jis qadar chaahe bichhaa.e
mudda.aa anqaa hai apne aalam-e-taqriir kaa
Mirza Ghalib
Sher
pak.De jaate hai.n farishto.n ke likhe par naa-haq
aadmii ko.ii hamaaraa dam-e-tahriir bhii thaa
Mirza Ghalib
Sher
naqsh fariyaadii hai kis kii shoKHi-e-tahriir kaa
kaaGzii hai pairahan har paikar-e-tasviir kaa
Mirza Ghalib
Sher
nashsha-e-husn me.n sarshaar chalaa jaataa hai
shab-e-taariik hai dildaar KHudaa ko sau.npaa
Meer Mohammadi Bedar
Sher
kuucha-e-zulf me.n phirtaa huu.n bhaTaktaa kab kaa
shab-e-taariik hai aur miltii nahii.n raah kahii.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
fazaa hai tiira o taariik aur us kaa KHayaal
na jaane kaun sii duniyaa me.n jaa ke soyaa hai
Arshad Siddiqui
Sher
viiraan to nahii.n shab-e-taariik kii fazaa
har-suu havaa-e-baada se kuchh raushnii to hai
Shahzad Ahmad
Sher
qissa-e-dard ko karte hu.e zabt-e-tahriir
rote rote bhii tire naam pe ha.ns detaa huu.n
Barq Aashiyanvi
Sher
naara-e-daar-o-rasan haadisa-e-kaun-o-makaa.n
KHufta-jaano.n ke liye KHvaab-e-giraa.n hai ki nahii.n
Kaleem Ahmadabadi
Sher
Abdul Ahad Saaz
Sher
jab hu.aa garm-e-kalaam-e-muKHtasar mahkaa diyaa
itr khii.nchaa yaar ke lab ne gul-e-taqriir kaa