SEARCH RESULTS
Showing search results for "hai.ate.n"
Sher MATCHES FOR "hai.ate.n"
Sher
ham se pahle bhii musaafir ka.ii guzre ho.nge
kam se kam raah ke patthar to haTaate jaate
Rahat Indori
Sher
ab havaa.e.n hii kare.ngii raushnii kaa faisla
jis diye me.n jaan hogii vo diyaa rah jaa.egaa
Mahshar Badayuni
Sher
aa.nkhe.n khulii.n to jaag uThii.n hasrate.n tamaam
us ko bhii kho diyaa jise paayaa thaa KHvaab me.n
Siraj Lakhnavi
Sher
ye havaa.e.n u.D na jaa.e.n le ke kaaGaz kaa badan
dosto mujh par ko.ii patthar zaraa bhaarii rakho
Rahat Indori
Sher
kis kis tarah kii dil me.n guzartii hai.n hasrate.n
hai vasl se ziyaada mazaa intizaar kaa
Taban Abdul Hai
Sher
le ga.ii.n duur bahut duur havaa.e.n jis ko
vahii baadal thaa mirii pyaas bujhaane vaalaa
Iqbal Ashhar
Sher
Iqbal Ashhar
Sher
ulaT rahii thii.n havaa.e.n varaq varaq us kaa
likhii ga.ii thii jo miTTii pe vo kitaab thaa vo
Zeb Ghauri
Sher
Abbas Rizvi
Sher
pii le.nge zaraa shaiKH to kuchh garm rahe.nge
ThanDaa na kahii.n kar de.n ye jannat kii havaa.e.n
Arsh Malsiyani
Sher
Agha Shayar Qazalbash
Sher
tuu ne ek umr ke baa'd puuchhaa hai haal-e-dil
vahii dard-o-Gam vahii hasrate.n mire saath hai.n
Akhtar Shumar
Sher
chashm-e-jahaa.n se haalat-e-aslii chhupii nahii.n
aKHbaar me.n jo chaahiye vo chhaap diijiye
Akbar Allahabadi
Sher
mai.n raat sust anaasir se ta.ng aa gayaa thaa
mirii hayaat-e-fasurda me.n rang aa gayaa thaa
Osama Zakir
Sher
haalat-e-haal se begaana banaa rakkhaa hai
KHud ko maazii kaa nihaa.n-KHaana banaa rakkhaa hai