SEARCH RESULTS
Showing search results for "haif"
Sher MATCHES FOR "haif"
Sher
haif us chaar girah kap.De kii qismat 'Gaalib'
jis kii qismat me.n ho aashiq kaa girebaa.n honaa
Mirza Ghalib
Sher
jii kii jii hii me.n rahii baat na hone paa.ii
haif ki us se mulaaqaat na hone paa.ii
Insha Allah Khan Insha
Sher
hazaar shukr mai.n tere sivaa kisii kaa nahii.n
hazaar haif ki ab tak hu.aa na tuu meraa
Shad Azimabadi
Sher
kaifiyyate.n attaar ke lau.nDe me.n bahut thii.n
is nusKHe kii ko.ii na rahii haif davaa yaad
Meer Taqi Meer
Sher
rashk kahtaa hai ki us kaa Gair se iKHlaas haif
aql kahtii hai ki vo be-mehr kis kaa aashnaa
Mirza Ghalib
Sher
payaam-e-zindagii-e-nau na ban sakii.n sad haif
ye uudii uudii ghaTaa.e.n ye bhiigii bhiigii bahaar
Ada Jafarey
Sher
rahn-e-sharaab-KHaana kiyaa shaiKH haif hai
jo pairahan banaayaa thaa ehraam ke liye
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
'saudaa' se shaKHs ke ta.ii.n aazurda kiijiye
ai KHud-parast haif nahii.n tuu vafaa-parast
Mohammad Rafi Sauda
Sher
zaKHm-e-shamshiir-e-nigah haif ki achchhaa na hu.aa
karne ko us kii davaa doctor a.ngrez aayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
chaak kartaa hai abhii jaama-e-uryaanii ko
yaar ko KHush nahii.n aatii mirii rusvaa.ii haif
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
dard kaa ehsaas rakkhaa hai faqat insaan me.n
haif diimak jii rahii hai 'miir' ke diivaan me.n
Zahoor Minhas
Sher
kha.Daa huu.n aaj bhii roTii ke chaar harf liye
savaal ye hai kitaabo.n ne kyaa diyaa mujh ko
Nazeer Baaqri
Sher
muddate.n guzrii.n mulaaqaat hu.ii thii tum se
phir ko.ii aur na aayaa nazar aa.iine me.n
Haneef Kaifi
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
hai du.aa yaad magar harf-e-du.aa yaad nahii.n
mere naGmaat ko andaaz-e-navaa yaad nahii.n
Saghar Siddiqui
Sher
apne kaa.ndho.n pe liye phirtaa huu.n apnii hii saliib
KHud mirii maut kaa maatam hai mire jiine me.n
Haneef Kaifi
Sher
aurat ho tum to tum pe munaasib hai chup raho
ye bol KHaandaan kii izzat pe harf hai