SEARCH RESULTS
Showing search results for "ham-qafas"
Sher MATCHES FOR "ham-qafas"
Sher
Raaz Allahabadi
Sher
raaz siine me.n hai kaaGaz ke chhupaayaa ko.ii
harf likh likh ke ka.ii baar miTaayaa ko.ii
Muskan Syed Riaz
Sher
zabt kartaa huu.n to ghuTtaa hai qafas me.n miraa dam
aah kartaa huu.n to sayyaad KHafaa hotaa hai
Qamar Jalalvi
Sher
kabhii haram me.n hai kaafir to dair me.n momin
na jaane kyaa dil-e-diivaana teraa maz.hab hai
Ameeq Hanafi
Sher
Meer Hasan
Sher
shikva sayyaad kaa bejaa hai qafas me.n bulbul
yaa.n tujhe aap tiraa tarz-e-fuGaa.n laayaa hai
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
dil to dil afa.i-e-gesuu vo balaa hai kaafir
is kaa kaaTaa ko.ii af.ii bhii na paanii maa.nge
Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz
Sher
Qayem Chaandpuri
Sher
ham subuk-ruuh asiiro.n ke liye laazim hai
qafas-e-gul ko kare baad-e-bahaarii tayyaar
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
kyaa shikva kare.n kunj-e-qafas kaa dil-e-muztar
ham ne to chaman me.n bhii Tuk aaraam na paayaa
Meer Hasan
Sher
faiz-e-ayyaam-e-bahaar ahl-e-qafas kyaa jaane.n
chand tinke the nasheman ke jo ham tak pahu.nche
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
Laxmi Narayan Shafiq
Sher
tamaam umr qafas me.n guzaar dii ham ne
KHabar nahii.n ki nasheman kii zindagii kyaa hai
Anwar Sabri
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kahiyo sabaa salaam hamaaraa bahaar se
ham to chaman ko chho.D ke suu-e-qafas chale