SEARCH RESULTS
Showing search results for "ham-qalam"
Sher MATCHES FOR "ham-qalam"
Sher
jab ham-kalaam ham se hotaa hai paan khaa kar
kis rang se kare hai baate.n chabaa chabaa kar
Meer Taqi Meer
Sher
ai kaash KHud sukuut bhii mujh se ho ham-kalaam
mai.n KHaamushii-zada huu.n sadaa chaahiye mujhe
Sabir Zafar
Sher
Galat hai aap na the ham-kalaam KHalvat me.n
aduu se aap kii tasviir boltii hogii
Riyaz Khairabadi
Sher
vo habiib ho ki rahbar vo raqiib ho ki rahzan
jo dayaar-e-dil se guzre use ham-kalaam kar lo
Anwar Moazzam
Sher
vo uThaa kar yak qadam aayaa na gaah
ham qalam saa.n us ke, sar ke bhal ga.e
Mirza Zahirddin Azfari
Sher
kahaa.n pe TuuTaa thaa rabt-e-kalaam yaad nahii.n
hayaat duur talak ham se ham-kalaam aa.ii
Zubair Rizvi
Sher
kitaab-e-umr se sab harf u.D ga.e mere
ki mujh asiir ko honaa hai ham-kalaam us kaa
Afzal Ahmad Syed
Sher
har qadam pe naakaamii har qadam pe mahruumii
Gaaliban ko.ii dushman dosto.n me.n shaamil hai
Ameer Qazalbash
Sher
unhe.n bataa.o buzurgo.n kaa hai karam is par
'hilaal' achchhaa suKHanvar isii liye to hai
Hilal Badayuni
Sher
Shauq Sandelvi
Sher
rakhtaa hai qadam naaz se jis dam tuu zamii.n par
kahte hai.n farishte tujhe jai arsh-e-barii.n par