SEARCH RESULTS
Showing search results for "ham-sharaab"
Sher MATCHES FOR "ham-sharaab"
Sher
go ham sharaab piite hamesha hai.n de ke naqd
lekin mazaa kuchh aur hii paayaa udhaar me.n
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
subuu me.n aks-e-ruKH-e-maahtaab dekhte hai.n
sharaab piite nahii.n ham sharaab dekhte hai.n
Arif Imam
Sher
pahle sharaab ziist thii ab ziist hai sharaab
ko.ii pilaa rahaa hai piye jaa rahaa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
fazaa.e.n raqs me.n hai.n aur baras rahii hai sharaab
kisii ne jaam suu-e-asmaa.n uchhaalaa hai
Zeeshan Niyazi
Sher
zaahid ko raT lagii hai sharaab-e-tuhuur kii
aayaa hai mai-kade me.n to suujhii hai duur kii
Hafeez Jaunpuri
Sher
pii bhii jaa shaiKH ki saaqii kii inaayat hai sharaab
mai.n tire badle qayaamat me.n gunahgaar rahaa
Anwar Dehlvi
Sher
zaahido da.avat-e-rindaa.n hai sharaab aur kabaab
kabhii maiKHaane me.n bhii roza-kushaa.ii ho jaa.e
Imdad Ali Bahr
Sher
Haidar Ali Aatish
Sher
shuhra-e-husn abhii kyaa hai shabaab aane do
naam chamkegaa tumhaaraa mah-e-taabaa.n ho kar
Jaleel Manikpuri
Sher
Anwar Saharanpuri
Sher
Gusl-e-tauba ke liye bhii nahii.n miltii hai sharaab
ab hame.n pyaas lagii hai to ko.ii jaam nahii.n
Siraj Lakhnavi
Sher
Mustafa Shahab
Sher
Asar Sahbai
Sher
har sahaaraa be-amal ke vaaste be-kaar hai
aa.nkh hii khole na jab ko.ii ujaalaa kyaa kare
Hafeez Merathi
Sher
dhuum naalo.n ne yahaa.n tak to machaa.ii hai 'sharar'
baKHt-e-KHufta ko dil-e-zaar ne sone na diyaa
Ali Bakhsh Sharar
Sher
tumhaarii yaad nikaltii nahii.n mire dil se
nasha chhalaktaa nahii.n hai sharaab se baahar