SEARCH RESULTS
Showing search results for "ham-zabaan"
Sher MATCHES FOR "ham-zabaan"
Sher
kuchh log the safar me.n magar ham-zabaa.n na the
hai lutf guftuguu kaa jo apnii zabaa.n me.n ho
Saeed Naqvi
Sher
jo ik KHudaa nahii.n miltaa to itnaa maatam kyuu.n
yahaa.n to ko.ii miraa ham-zabaa.n nahii.n miltaa
Kaifi Azmi
Sher
ye kyaa azaab hai sab apne aap me.n gum hai.n
zabaa.n milii hai magar ham-zabaa.n nahii.n miltaa
Nida Fazli
Sher
payaam ab vo nahii.n bhejtaa zabaanii bhii
ki jis kii ho.nTo.n me.n lete the ham zabaa.n har roz
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
rahiye ab aisii jagah chal kar jahaa.n ko.ii na ho
ham-suKHan ko.ii na ho aur ham-zabaa.n ko.ii na ho
Mirza Ghalib
Sher
zabaan-e-haal se ye lucknow kii KHaak kahtii hai
miTaayaa gardish-e-aflaak ne jaah-o-hasham meraa
Chakbast Braj Narayan
Sher
ab bhii koh-e-tuur par goyaa zabaan-e-haal se
hai ko.ii aur us ke jalve kaa tamannaa.ii ki bas
Raees Rampuri
Sher
mizhgaa.n-zadan se kam hai zamaan-e-namaaz-e-ishq
ho jaave faut vaqt hii jab tak vazuu kare.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
shaayad zabaa.n pe qarz thaa ham ne chukaa diyaa
KHaamosh ho ga.e hai.n tujhe ham pukaar ke
Ajay Sahaab
Sher
terii tarah zabaan ke kuchh tez ham bhii hai.n
par mas.ala ye hai ki adab jaante hai.n ham
Kazim Rizvi
Sher
Unknown
Sher
idhar udhar mirii aa.nkhe.n tujhe pukaartii hai.n
mirii nigaah nahii.n hai zabaan hai goyaa
Bismil Saeedi
Sher
kahne ke liye ham bhii zabaa.n rakhte hai.n lekin
ye zarf hamaaraa hai ki ham kuchh nahii.n kahte
Siddiq Fatahpuri
Sher
Hatim Ali Mehr
Sher
niklaa zabaa.n se jhuuT jo sach ke libaas me.n
ba.Dh ke sabhii ne ham ko gale se lagaa liyaa
Mazhar Abbas
Sher
baat bhii aap ke aage na zabaa.n se niklii
liijiye aa.e the ham soch ke kyaa kyaa dil me.n