SEARCH RESULTS
Showing search results for "hama-tan-o-sharm-o-hayaa"
Sher MATCHES FOR "hama-tan-o-sharm-o-hayaa"
Sher
sharm-o-hayaa ne baaz rakhaa is qadar hame.n
saayaa bhii un kaa dekh ke ham sar-niguu.n kare.n
Sahar Alig
Sher
tahziib hii baaqii hai na ab sharm-o-hayaa kuchh
kis darja ab insaan ye bebaak hu.aa hai
zafar iqbal zafar
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
mardo.n ko sab ravaa pa hai aurat ko naaravaa
sharm-o-hayaa kaa shahr me.n charchaa bhii hai ajab
Kishwar Naheed
Sher
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
saaraa aalam hama-tan-gosh hu.aa jaataa hai
saaz-e-hastii hai ki KHaamosh hu.aa jaataa hai
Syed Azam Husain Azam
Sher
diivaangii merii ke tahayyur me.n shab-o-roz
hai halqa-e-zanjiir se zindaa.n hama-tan-chashm
Nazeer Akbarabadi
Sher
ash.aar mere sun ke vo KHaamosh ho gayaa
Gunche ba-ra.ng-e-gul hama-tan gosh ho gayaa
Muneer Shikohabadi
Sher
un kii palko.n par sitaare apne ho.nTo.n pe ha.nsii
qissa-e-Gam kahte kahte ham kahaa.n tak aa ga.e
Qabil Ajmeri
Sher
Qabil Ajmeri
Sher
pahle to merii yaad se aa.ii hayaa unhe.n
phir aa.ine me.n chuum liyaa apne-aap ko
Shakeb Jalali
Sher
sharm kab tak ai parii laa haath kar iqraar-e-vasl
apne dil ko saKHt kar ke rishta-e-inkaar to.D
Muneer Shikohabadi
Sher
uf vo maasuum o hayaa-rez nigaahe.n jin par
qatl ke baad bhii ilzaam nahii.n aataa hai
Anwar Sabri
Sher
pinhaa.n hai.n sad-savaal pas-e-parda-e-hayaa
dil de diyaa javaab thaa lekin rahe KHamosh