SEARCH RESULTS
Showing search results for "hamari"
Sher MATCHES FOR "hamari"
Sher
kisii ko ghar se nikalte hii mil ga.ii manzil
ko.ii hamaarii tarah umr bhar safar me.n rahaa
Ahmad Faraz
Sher
ye na thii hamaarii qismat ki visaal-e-yaar hotaa
agar aur jiite rahte yahii intizaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
kabhii to chau.nk ke dekhe ko.ii hamaarii taraf
kisii kii aa.nkh me.n ham ko bhii intizaar dikhe
Gulzar
Sher
tumhe.n zaruur ko.ii chaahato.n se dekhegaa
magar vo aa.nkhe.n hamaarii kahaa.n se laa.egaa
Bashir Badr
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
urdu hai jis kaa naam hamii.n jaante hai.n 'daaG'
hindostaa.n me.n dhuum hamaarii zabaa.n kii hai
Dagh Dehlvi
Sher
muKHtasar ye hai hamaarii daastaan-e-zindagii
ik sukuun-e-dil kii KHaatir umr bhar ta.Dpaa kiye
Moin Ahsan Jazbi
Sher
tar-daamanii pe shaiKH hamaarii na jaa.iyo
daaman nicho.D de.n to farishte vazuu kare.n
Khwaja Meer Dard
Sher
qarz kii piite the mai lekin samajhte the ki haa.n
ra.ng laavegii hamaarii faaqa-mastii ek din
Mirza Ghalib
Sher
yahii vo din the jab ik duusre ko paayaa thaa
hamaarii saal-girah Thiik ab ke maah me.n hai