SEARCH RESULTS
Showing search results for "hammaam"
Sher MATCHES FOR "hammaam"
Sher
hammaam ke aa.iine me.n shab Duub rahii thii
cigarette se na.e din kaa dhu.aa.n phail rahaa thaa
Adil Mansuri
Sher
ek hammaam me.n tabdiil hu.ii hai duniyaa
sab hii na.nge hai.n kise dekh ke sharmaa.uu.n mai.n
Sulaiman Areeb
Sher
uryaa.n na vo nahaayaa hammaam ho ki dariyaa
chashm-e-hubaab ne bhii us kaa badan na dekhaa
Shuoor Bilgrami
Sher
taa-sub.h mirii aah-e-jahaa.n-soz se kal raat
kyaa gumbad-e-aflaak ye hammaam saa thaa garm
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
uudhar gayaa tuu Gusl ko hammaam kii taraf
yaa.n ashk-e-garm ne mire dariyaa samo diyaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Ahmad Faraz
Sher
haram-e-paak bhii allaah bhii qur.aan bhii ek
kuchh ba.Dii baat thii hote jo musalmaan bhii ek
Allama Iqbal
Sher
ko.ii ham-dam na rahaa ko.ii sahaaraa na rahaa
ham kisii ke na rahe ko.ii hamaaraa na rahaa
Majrooh Sultanpuri
Sher
ye aarzuu bhii ba.Dii chiiz hai magar hamdam
visaal-e-yaar faqat aarzuu kii baat nahii.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
chal diye suu-e-haram kuu-e-butaa.n se 'momin'
jab diyaa ranj buto.n ne to KHudaa yaad aayaa
Momin Khan Momin
Sher
us ke faroG-e-husn se jhamke hai sab me.n nuur
sham-e-haram ho yaa ki diyaa somnaat kaa
Meer Taqi Meer
Sher
baal apne ba.Dhaate hai.n kis vaaste diivaane
kyaa shahr-e-mohabbat me.n hajjaam nahii.n hotaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
rahbar bhii ye hamdam bhii ye Gam-KHvaar hamaare
ustaad ye qaumo.n ke hai.n me.amaar hamaare
Unknown
Sher
dard ko rahne bhii de dil me.n davaa ho jaa.egii
maut aa.egii to ai hamdam shifaa ho jaa.egii