SEARCH RESULTS
Showing search results for "harbe"
Sher MATCHES FOR "harbe"
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
yahaa.n kisii ko bhii kuchh hasb-e-aarzuu na milaa
kisii ko ham na mile aur ham ko tuu na milaa
Zafar Iqbal
Sher
Mohsin Naqvi
Sher
thake-haare parinde jab basere ke liye lauTe.n
saliiqa-ma.nd shaaKHo.n kaa lachak jaanaa zaruurii hai
Waseem Barelvi
Sher
meh.ndii lagaane kaa jo KHayaal aayaa aap ko
suukhe hu.e daraKHt hinaa ke hare hu.e
Haidar Ali Aatish
Sher
mushkil thaa kuchh to ishq kii baazii ko jiitnaa
kuchh jiitne ke KHauf se haare chale ga.e
Shakeel Badayuni
Sher
hamaarii jiit hu.ii hai ki dono.n haare hai.n
bichha.D ke ham ne ka.ii raat din guzaare hai.n
Aslam Kolsarii
Sher
haarne vaalo.n ne is ruKH se bhii sochaa hogaa
sar kaTaanaa hai to hathiyaar na Daale jaa.e.n
Jamal Ehsani
Sher
ziist aur maut kaa aaKHir ye fasaana kyaa hai
umr kyuu.n hasb-e-zaruurat nahii.n dii jaa saktii
Khalida Uzma
Sher
is shaan se lauTe hai.n ga.nvaa kar dil-o-jaa.n ham
is taur to haare hu.e lashkar nahii.n aate
Mohsin Naqvi
Sher
lagii thii jaan kii baazii bisaat ulaT Daalii
ye khel bhii hame.n yaaro.n ne haarne na diyaa
Zafar Iqbal
Sher
haarne jiitne se kuchh nahii.n hotaa 'vaamiq'
khel har saa.ns pe hai daa.o.n lagaate rahnaa
Wamiq Jaunpuri
Sher
Ahmad Mushtaq
Sher
haar hii jiit hai aa.iin-e-vafaa kii ruu se
ye vo baazii hai jahaa.n jiit ke haare saare
Imran-ul-haq Chauhan
Sher
aatish kaa sher pa.Dhtaa huu.n aksar ba-hasb-e-haal
dil said hai vo bahr-e-suKHan ke naha.ng kaa