SEARCH RESULTS
Showing search results for "hausle"
Sher MATCHES FOR "hausle"
Sher
mere TuuTe hausle ke par nikalte dekh kar
us ne diivaaro.n ko apnii aur uu.nchaa kar diyaa
Adil Mansuri
Sher
ye kah ke dil ne mire hausle ba.Dhaa.e hai.n
Gamo.n kii dhuup ke aage KHushii ke saa.e hai.n
Mahirul Qadri
Sher
ik fursat-e-gunaah milii vo bhii chaar din
dekhe hai.n ham ne hausle parvardigaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Sher
de hausle kii daad ke ham tere Gam me.n aaj
baiThe hai.n mahfilo.n ko sajaa.e tire baGair
Adeel Zaidi
Sher
Azm Bahzad
Sher
jin hauslo.n se meraa junuu.n mutma.in na thaa
vo hausle zamaane ke meyaar ho ga.e
Ali Jawad Zaidi
Sher
maqaam-e-shauq tire qudsiyo.n ke bas kaa nahii.n
unhii.n kaa kaam hai ye jin ke hausle hai.n ziyaad
Allama Iqbal
Sher
ham ne us ke lab o ruKHsaar ko chhuu kar dekhaa
hausle aag ko gulzaar banaa dete hai.n
Qabil Ajmeri
Sher
shaa.erii talab apnii shaa.erii ataa us kii
hausle se kam maa.ngaa zarf se sivaa paayaa
Abdul Ahad Saaz
Sher
ai zindagii tuu mire hausle kii daad to de
mai.n uTh ke roz nayaa din gale lagaataa huu.n
Dr. Yasin Aatir
Sher
de hausle kii daad ki ham tere Gam me.n aaj
baiThe hai.n mahfilo.n ko sajaa.e tire baGair
Adeel Zaidi
Sher
thii hausle kii baat zamaane me.n zindagii
qadmo.n kaa faasla bhii yahaa.n ek jast thaa
Ibrahim Ashk
Sher
hausle dard-bayaanii ke nahii.n hote hai.n
ab yahaa.n lafz ma.aanii ke nahii.n hote hai.n