SEARCH RESULTS
Showing search results for "havaas-e-KHamsa"
Sher MATCHES FOR "havaas-e-KHamsa"
Sher
mere havaas-e-KHamsa use dekh u.D ga.e
kyuu.n kar Thahar sake.n ye kabuutar the par gire
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
havas ham paar hoe.n kyuu.nki dariyaa-e-mohabbat se
qazaa ne baadbaan-e-kashtii-e-tadbiir ko to.Daa
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
hosh-o-havaas khone lagaa huu.n firaaq me.n
tanhaa.iyo.n ne aisaa muqaffal kiyaa mujhe
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
husn ne dast-e-karam khii.nch liyaa hai kyaa KHuub
ab mujhe bhii havas-e-lazzat-e-aazaar nahii.n
Saghar Nizami
Sher
ne gul ko hai sabaat na ham ko hai e'tibaar
kis baat par chaman havas-e-ra.ng-o-buu kare.n
Khwaja Meer Dard
Sher
ik baar agar qafas kii havaa raas aa ga.ii
ai KHud-fareb phir havas-e-baal-o-par kahaa.n
Jagan Nath Azad
Sher
'naazim' ye intizaam ri.aayat hai naam kii
mai.n mubtalaa nahii.n havas-e-mulk-o-maal kaa
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
saaqiyaa hijr me.n kab hai havas-e-guft-o-shuniid
saaGar-e-gosh se miinaa-e-zabaa.n duur rahe
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
Gariib ko havas-e-zindagii nahii.n hotii
bas itnaa hai ki vo izzat se marnaa chaahtaa hai
Waqar Manvi
Sher
Deepak Purohit
Sher
mujh ko havas-e-baada-o-saaGar nahii.n saaqii
un mast nigaaho.n kaa bas ik jaam bahut hai
Wafa Shahjahanpuri
Sher
be-sabaatii chaman-e-dahr kii hai jin pe khulii
havas-e-ra.ng na vo KHvaahish-e-buu karte hai.n
Aish Dehlvi
Sher
hamesha dil havas-e-intiqaam par rakkhaa
KHud apnaa naam bhii dushman ke naam par rakkhaa
Ahmad Javaid
Sher
mai na ho buu hii sahii kuchh to ho rindo.n ke liye
isii hiile se bujhegii havas-e-jaam-e-sharaab